Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao TumThakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao TumMairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna TumMairey Khwaabon Mein Sehra Hain, Mujhey Abb Mat Rulaao TumDukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri HissaBohat Arsey Say Jaari Tha, Ussey Abb Mat Dohraao TumMairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi HaiYe Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hataao TumMairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta ThaMairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Abb Mat Hansaao TumTumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main ThaSafhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao TumKahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi PaaniMujhey Jo Cheezein Bakhseen Thi, Ussi Say Ghar Banaao TumWahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Abb Aaey Ho To Ruk JaanaThakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao TumBohat Mushkil Say Sambhla Hai, Ikk Arsey Baad Abb ‘Bilal’Lo Abb Ye Jaam Ulta Do, Issey Abb Mat Pilaao Tum !

Your Comment Comment Head Icon

Login