Sab kahete hai ki tu nahi rukta,Chalte raheta har waqt,Per rukne ka naam nahi leta,Jab gham rahete hai lipat kar saath mere,Tho kyun fir tu uss waqt,chalne ka naam na leta.Dhal jaata itni jald,Jab khelte hum sath khusi k,Kab guzar jaata tu uss waqt,Na samaj paate the hum sab.Tu(waqt) tho sab k sath raheta hai,Kabhi gham tho kabhi khusi deta hai,Per jhelna tho hume padhta hai,Jo kuch bhi yeh waqt laata hai,Lakin yeh waqt zarur kuch-na-kuch de jaata hai.Ab tho iss kadar gham se dosti badh gayi,Ki har waqt lipat kar hai rehata,Khusi aa bhi gayi kisi waqt,Tho lagta kya aagaya ye naa mood zindagi main iss waqt.Khusi kya hooti hai,Hum tho naa samaj the iss per,Har waqt tho hum gham ki zanziron main bandhe rahete.Waqt wo khusi ka,Aane ka har waqt hum waqt per he saup dete,Kabhi tho aayega wo waqt khusi ka, pass mereIntazar main hum jee lete har waqt hass k.

Your Comment Comment Head Icon

Login