Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chale janaYa phir sargoshiyan dil ki suna do phir chale janaJo mera or tumhara waqt guzra hansne rone mainUsay Poori tarah se tum bhulado phir chale janaKisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane kaJo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale janaBus ek hansi se apne ashkon ko chupane kaJo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale janaWo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane seBus in alfaz-o-maa’ine ko mitado phir chale janaJo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon kiSama`at ko talab hai wo suna do phir chale janaNa jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat haiMeri ye be-wajah aadat churha do phir chale janaMery in Roz-O-Shab ka ek fakat unwaan bas tum hoMujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!

Your Comment Comment Head Icon

Login