Tere kadmo ki ye aahat khumari jagaye hai,Madhosh mera dil nasheman me giraftar.Khankatee see aawaj teri, lab tere gulab se,Murdo me bhi ja foonk de, maseeh lage hai..Tujhse bichadne ka wo manjar ajeeb thaAb bhi teri ranho me pada hai wahi fakeer.Dil ka raha chiraga bhi aur noor ki mahfil bhiUspe tera aana, yousuf-o-julekha sa lage hai.Tere kafas me dil ko ye kaisa sukoon haiAazadi-o-parwaz bhi ab maut lage haiMere shukoon tu khud ko samajh hi nahi paya,Tu to maseeh-e-dil hai jahane-geer lage haiMai janta hoon tere brabar nahi hoon mai.Kandeel-e-rah hee sahi, tere kam to aaya.Mere junoon-e-isq ko paththar hai marteYe log, ye duniya, “Ali” ajeeb lage hain..

Your Comment Comment Head Icon

Login