Tum ho ke to dunyaa se bay-zaar kabhi daikhoAankho’n mai’n kabhi utro, uss paar kabhi daikhoAansoo ki haqeeqat to, hai zakhm se paiwastaaGarr rooh pe tum khaa ker, ik baar kabhi daikhoHo aankh jaha’n dard to aansoo ho kahaaniAisee bhi koee dunyaa ik baar kabhi daikhoDil toot na jaay gaa, garr tum jo kabhi khud koAaeena-e-dunyaa mai’n bay-kaar kabhi daikhoDaikho gay kabhi tum bhi, ik doobti nayya koSaahil pe kharay ho ker ik baar kabhi daikhoWoh mujh se ye kehtay hai’n, chhoro ye ajab baatai’nJazbaat ki lughat mai’n, tum pyaar kabhi daikhoParhtay jo meri aankhain, to jaan ye laitay wohKuchh log nahi’n kertay izhaar kabhi daikhoAuro’n ki tarah tum bhi, boli naa lagaa dainaBaahar jo mere ghar ke khareedaar kabhi dakhoIss shor mai’n tum meri aawaaz dabaa dainaaGarr log samaa’at se bay-zaar kabhi daikhoBojhal jo meri aankhain daikhai’n to wo kehtay hainTum so ke to abb “VIRGO” ik baar kabhi daikho

Your Comment Comment Head Icon

Login