Unko Yeh Shikayat Hai.Main bewafai par nahi likhta.Aur mai sochta hoon ki maiUnki ruswai par nahi likhta.Khud Apne se zyada bura,Is Zamane mai kaun hai.MaiN isliye doosron ki burai par nahi likhta.Kuch to aadat se majboor haiAur kuch fitraton ki pasand haiZakham kitne bhi gahre hoMain unki duhai par nahi likhtaDuniya ka kiya hai,Har haal mai ilzaam lagati hai.Varna kiya baat kiMai apni safai par nahi likhtaShan-e-Amiron par karuon kuch arz,Magar ek rukawat hai Mere usool ke,Main gunahon ki kamai par nahi likhtaUski taqat ka nasha ,mantra aur kalme” mai barabar hai.Mere dosto,Main mazhab ki ladai par nahi likhta.samundar ko parkhne ka,Mera nazariya hi alag hai yaaro.Mizazon par likhta hoon,Main uski gahrai par nahi likhta.Paraye dard ko mai gazlon mai,Mahsoos karta hoon.Yeh sach hai mai ,sazar se fal” ki judai par nahi likhta.Tazurba teri muhabbat ka,Na likhne ki bajah bas ye hai..Ki Shayar ishq mai,Khud apni tabahi par nahi likhta

Your Comment Comment Head Icon

Login