aaj bahut din baad hamari unse baath hui,laga mere saye nein apne hone ka ehsas dilaya.us waqt hame aysa laga jaise,mere dil apne hone ka ek ehsas dilaya.bato bato mein aysa laga ke mein,bhul gaya ek pal mein yeh sari duniya..kya khoya kya paya apne is zindagi mein,na soch kar yaad aah rahi thi,uske begar bitai hui woh duriya.duriyo se mein kavi dard nahi hua jo,maine uske bagar apni in bejan diwaro ke sath bitaye.par kahete hein na kavi kavi wohi dard aur gaam,hamari is zindagi ko kisi dour le jate hein bina hame bataye.bus jina hein hame unke pyar mein unki awaz ko sunkar,aur unki us muskurahat ko apne kahayalo me rakhkar.kavi eshsas na karne denge hum unhe k,unki muskurahat ko bekarar karne k liye,kardenge apni zindagi raab ke chokhat par.batein hum jab bhi kiya karte hein,,ek hein labz nikal atte hein apna khyal rakhte ho ke nahi.aur unka kahena ek hein hota hein aap apna khyal rakho ge,to hum apna khyal rakhenge warna nahi.aab hum kya unse kahe ke hum khud nahi jante ke,khyal kaise rakhte hein hum kitna unke begar.hamne sirf yeh kaha yeh to hamare andar aap ka dil hein,jaisa aap chahoge waise hum karenge hoke bekhabar.kahete hein pyar mein hamesha,apna dil khud ke pass nahi hota..yahi to mohabbat hein jo ek dusre ko bandhe rakha hein,nahi to apna khud ka dil dharamshala na hota.dil to sirf ek ko hein diya jata hein jo hamesha,hamari band akho mein samai hui rahete hein.khud ko uske karib pana ho to uski,ek mithi si awaz jene ke liye kafi hoti hein..

Your Comment Comment Head Icon

Login