Teri Saadgi Ko Niharne Ka Dil Karta Hai; Tamaam Umar Tere Naam Karne Ka Dil Karta Hai; Ek Muqammal Shayari Hai Tu Kudrat Kee; Tujhe Ghazal Banake Zuban Pe Lane Ka Dil Karta Hai

Jab Achanak Kabhi Unka Deedar Hota Hai; Dil Mein Dhimi Si Dhandkan Ruk Jati Hai; Itni Khoobsurat Hain Aankhein Unki; Ki Nazar Milate Hi Nazar Jhuk Jati Hai

Yeh Jo Pani Mein Sunehera Garoor Utar Aya Hai; Zaroor Usne Pani Mein Payu Utara Hoga

Hume Hasne-Hasane ki aadat hai Nazron se Nazar Milane ki aadat hai Par hamari to nazar unse hai ja mili Jinhe nazar jhukake Sharmane ki Aadat hai

Vo Mera Waham Tha Ki Mera Hamsafr Tha,
Vo Chalta To Mere Sath Tha, Par Kisi Aur Ki Talash Me...!!!

Tu Dekh Ya Na Dekh Tere Dekhne Ka Gham Nahi; Par Teri Ye Na Dekhne Ki Adaa Dekhne Se Kam Nahi

Tumhara noor hi hai jo pad rha chehre par warna kaun dekhta muje andhere mein

Nikley jab teri aankhon se aanshu
"MAA"
Dil karta hai dunia jala doon

Hum na hote to aapko gazal kaun kehta apke chehre ko gulab kaun kehta Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta

Itna Haseen Kyon Banaya Khuda Ne Unko; Har Koi Chahta Hai Dil-o-Jaan Se Unko; Baar Baar Dekhne Se Dil Nahi Bharta Kisi Ka Bhi; Aankhon Mein Basa Lena Chahta Hai Har Shakhs Unko

Nasha Zaroori Hai Zindagi Ke Liye; Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye; Kisi Kee Mast Nigahon Mein Doob Jao; Bada Haseen Samandar Hai Khudkhushi Ke Liye

Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye

Tajurbe ne Sher ko khamosh rehna sikhaya,Kyunke Dahaad kar kabhi Shikar nahi kya jata...!

U To Teri Nazaro Ne Aisa Kam Kar Diya,
Logo Ki Nazaro Me Mujhe Badnam Kar Diya.
Meri Badnami Bhi Mujhe Bha Gayi Yaaro,
Jabse Logo Ne Unhe Meri Jaan Kah Diya.

Bahut naraj hai koi sakhsh tere jane se,
Ho sake to lout aa kisi bahane se,
Tu lakh khafa sahi magar ek baar to dekh,
koi toot gaya hai tere door jane se... 😫😣😔