As the name of the thread sez it all……
Lets see Kisme Hai Kitna Dum !!!!!!
Ek dusare par shayari ke bomb faikne ka dekhte hein ke kaun jetta hai….

Auro ko dikhaane ke liye hasta hu main,
Gam ko bhoolane ke liye hasta hu main,
Mere hasne ki hakeekat ko kya samajhogi,
Khud ko bhoolane ke liye hasta hu main.

Jeene Ki Khwaish Mein Har Roz Marte Hain; Wo Aaye Na Aaye Hum� Intezaar� Karte Hain; Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada; Hum Sach Maankar� Aitbar� Karte Hai

Khwaab aankhon se gire aansu me dhal kar,
Dam armaano ne toda dam machal-machal kar,
Meri kismat me judaai likhi thi,
Warna har kadam rakha tha sambhaal-sambhaal kar.

Vishwas Banke Log Zindagi Main Aatey Hai
Khwab Banke Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
Phir Na Jaane Kyu Badal Jaatey Hai…

Hamari Maut
Meri maut ka waja hai har koi
maut to hum dono ki sath hui
mere armanon ki jinho ne sada mera sath dia
aur meri jis ne sirf tujhe hi yaad kiya…

Dil ko Dil se Churaya aapne…..
Door hote hue bhi rishta nibhaya aapne….
Kabhi Bhool nahi payenge hum aapko……
kyoki yaad rakhna hi sikhaya aapne…

Kab Tak Rahoge Aakhir Yun Duur Duur Hum Se; Milna Padega Aakhir Ik Din Jarur Hum Se Daaman Bachhane Waale Yeh Berukhi Hai Kaisi; Keh Do Agar Hua Hai Koi Kasur Hum Se Hum Chhod Denge Tum Se Yun Baat-Chit Karna; Tum Puchhte Firoge Apna Kasoor Hum Se

Gazab Kiyaa Tere Vaade Pe Aitabaar Kiyaa; Tamaam Raat Qayaamat Kaa Intezaar Kiyaa

Kuch Roz Yeh Bhi Rang Raha Intezar Ka; Aankh Uth Gayi Jidhar Bas Udhar Dekhte Rahe

Thak Thak Ke Band Hote Hain Chasme Intezar; Aata Hai Sab Ko Khyal Tumhare Khyal Se

Pahunchi Jis Waqt Khabar Uski Mujhe Aane Ki; Sudh Rahi Mujh Ko Na Apne Ki Na Begane Ki

Main Intezar Ka Qaayal Na Tha Magar Tum Ne; Lagaa Diya Mujhe Deewaar Se Gharri Ki Tarah

Un Ke Khat Ki Arzoo Hai Un Ki Aamad Ka Khayal; Kiss Qadar Phaila Hai Karobaar-e-Intezaa

Wo Jo Hath Bhar Ka Tha Fansla Kai Mausmon Main Badal Gya; Useh Napte Useh Katte Mera Sara Waqt Guzar Gya