Fiza Muattar Khila Munnawar Sama HaiMasroof-E-KajkalahiZamin Ke Anchal Ki Har Shikan Mein Simat Rahi HiaJahan PanahiHajar Shajar Mast-O-Mehwe-E-Nagma Bashar Bashar Khush NigahiGhata Hai Mashgool Aks Bandi Ke Raks Kerte HainMurg-O-MahiMizaj Gulbanang Aqal Chonke,Duroord Ki Jaltarang JaageHawa Rag-E-Jaan Ko Cheerti Hai,Ali Wali Ke MalangJaageWoh Phool Mehke,Woh Rang Dehke,Tewar Chehke To MastBehkeKali Jo Chatki Hawa Ko Khatki Chaman Se Atki Ke ShakMehkeHayat Lipki Palak Na Jhapki Hazar Jalwoon Ke Pass RehKeGhata Se Chin Ker,Fiza Mein Tan Ker,Woh Chand NiklaYeh Baat Keh KerMughe Na Rook Ke Ban Sanwar Ker Hazar Mehshar JagaRaha HoonHai Jis Ki Ulfat Ka Daag Dil Mein Ussi Ki Shadi MeinJa Raha HoonWajooh Un Ka Mera Taruuf,Yeh Meri Pehchan Hai JahanMeinInhi Ke Dam Se Yeh Roshni Hai Yeh Soorat Jaan HaiJahan MeinInhen Bana Ke Mein Surkhuro Hoon,Yeh Mera Irfan HainJahan MenDaleel-E-Emaan Poochte Ho,Yehi To Emaan Hain JahanMeinInhi Ki Khalkat Se Hai Yeh Khalkat Na Jagte Yeh JahanSootaInhi Ki Khatir Banae Dunya Jo Yeh Na Hote To Kuch NaHotaInhi Ke Chasham Karam Se Bigre Ho Muqaddar Sanbhal GaeHainKabhi Mein In Se Behal Gaya Hoon Kabhi Yeh Mughe SeBehal Gae HainMeri Riza Ke Azeem Tajir Mere Irade Badal Gae HainFalak Pe Ik The Zamin Pe Aa Ker Panch Behroon MeinDhal Gae HainInhi Mein Do Behar Mil Rahe Hain Tamam Aalam Hia ShadMeraKe In Mein Ik Lakht-E-Mustufa Hai To Dosra Hana-E-ZaadMeraZamin Batha Misal-E-Jannat Uroos Alam Bani Hoi HaiUsool-E-Din Ke Sutoon Hain Muhkam,Haya Ki Chadar TaniHoi HaiHar Aik Zarre Ki Aasmanoon Se Ajj Ki Shab Thani HoiHaiKiran Kiran Ik Hareer Ismat Ke Anchalon Mein Chani HoiHaiLadi Hoi Hai Hina Ki Kaliyon Se Ajj Tooba Ki Dali DaliAli Ki Khatir Nabi Ke Dar Per Ajj Tauheed Khud SawaliIdher Falak Per Harem Wehdat Mein Noor Ka Saiban SajaHaiSabhi Farishte Talab Hoi Hian Har Aik Noori JhukaKhara HaiIdher Se Shams-O-Najoom-O-Sayyargan Ka Bhi Qafla ChalaHaiSuno Suno Kaun Nooriyon Ko Khuda Ka Paigham De RahaHaiWoh Koun Khush Bakht Hai Ke Iss Dam Hamari Rehmat KoAazmaeAli Ki Shadi Ka Naam Bar Bin Ke Jo Dar-E-Mustufa PeJaeYeh Hokum Sun Ker Barhe Farishte Ke Apni Kismet KoAazmaeinSaroon Pe Dastar Zehad Rakhi,Durust Hone Lagin QabaeenHuzoor Wehdat Tharak Rahi Hain Gale Mein Sehmi HoiSadaienIdher Se Jibreel Uss Taraf Shams Le Ke Aae Kae DuaiyenTu Koun,Jibreel Ik Taraf Ho Nae Payami Ko Bhejna HaiJanab Sooraj Hoon,Ik Taraf Ho,Tughe Salami Ko BhejnaHaiSada Yeh Aae Kahan Hai Zehra,Ke Ajj Zehra Ke Dar PeJaenHamara Paigham Intihae Adab Se Ja Ke Inhen SunaiyenNa Dastakein De,Na Aahatein Hoon,Na Be Adab Ho,NaMuskuraeBus Iss Tarah Jae Jaise Momin Khud Apne Khaliq Ke DarPer AaeNabi Ki Chaukhat Pe Bosa De Ker Kahe Ke Abb Yeh UsoolHogaJo Sar Se Paoon Talak Khuda Jaisa Ho Woh Zauj-O-BatoolHogaFalak Se Zehra Utar Rahi Hai Jaise Ilham Dil Mein AaeKe Jaise Ik Be Riya Namazi Bari Aqeedat Se Hajj Ko JaeBadan Pe Oarhe Qabae-E-Ismat Laboon Pe Sal-E-Ala SajaeWoh Jar Aha Hai Ke Jasise Qaari Gilaf-E-Quran Pe SarJhukaeNasha-E-Mawaddat Ki Mae Ka Zehra Ke Dil Mein ShayadSama Gaya HaiWoh Jar Aha Hai,Woh Aa Raha Hai,Durood Parh Lo,Woh AaGaya HaiYeh Anbiya Hain Woh Auliya Hain Ali Wali Ki BaraatDekhoKhizar Chirakhta Hai Har Barati Ke Rukh Pe Aab-E-HayatDekhoNashe Kea Lam Mein Jhoomti Hai Shaur Ki Kainat DekhoYeh Bazam Dekho,Yeh Log Dekho,Yeh Rang Dekho,Yeh RaatDekhoKae Baharain Guzar Gae Hain,Khila Na Aisa Chaman JahanMeinKahan Khudai Mein Aisa Nausha Kahan Hai Aisi DulhanJahan MeinLo Ho Chuka Aqad-E-Murtuza Ka,Kaho Ke Sal-E-AalaMubarakAli Wali Ko Nabi Ke Gher Mein Mila Hai Jo MartabaMubarakTamam Nabiyon Ko Ajj Ki Shab Mila Hai Mushkil KushaMubarakImam Apna Hamain Salamat,Nusairiyon Ko Khuda MubarakKhuda Ka Din Baroor Huwa Hai Chaman Imamat Ka KhulUtha HaiJanab-E-Imran Ko Naboowat Ki Parwarish Ka Sila MilaHai

Your Comment Comment Head Icon

Login