Iss Shah Latif Ki Dharti MeinIss Amn-O-Pyar Ki Basti MeinMein Paida Hooa Iss Dharti MeinParwan Charha Iss Basti MeinKhana Bhi Yahin Ka Khaya HaiPani Bhi Issi Dharti Ka PyaAb Marna Jeena Sub Kuch HeIss Dharti Say Hi Jore LeyaPhir Mujh Say Door Kyon Rhetey Ho?Kyon Mujh Ko Ghair Samajhtey Ho?Mein Tum Say Alug, Tum Mujh Say JudaaKyon Aisi Sochen Rakhtey Ho?Apnon Ko Ghair Samajhtey HoGheron Ko Apna Samajhtey HoTum Mano Isey Ya Na ManoYeh Dharti Meri Dharti HaiIss Shah Latif Ki Dharti KoMein Apni Dharti Manta HoonAb Iss Kay Silay Mein Tum Mujh SayKya Chahtey Ho? Yeh Mujh Say KahoKuch Khul Kar Dil Ki Baat KaroKuch Mairay Dil Ki Baat SunoMein Sub Kuch Wo Kar Guzroon GaTum Mujh Say Jo Bhi Chahtey HoIk Bar Laga Kar Dil Say MujheyTum Apna Samajh Kar Parkho ToIk Phool Hoon Mein Apno Kay LeayAur Aag Hoon Mein Ghairoun Kay LeaySeenay Say Laga Kar Daikho ToDharti Kay Leay Basti Kay LeayHar Din Ye Tamasha Hota HaiIs Dharti Mein Iss Basti MeinKay Aapus Mein Hum Lartey HeinOr Dushman Mauj Hi Kartay HeinKub Tak Ye Tamasha Ho Ga KayHum Apna Khoon Hi Kartay RaheinAur Saaray Dushman, Ghair SubhiKhushyoon Ki Mala Japtay RaheinYe Sara Tamasha Khatm KareinSub Doori, Talkhi Mita Dein HumDharti Kay Sukh Ki Khatir UbAapus Mein Aika Kar Lein HumTum Haath Jo Aik Baraho GayMein Dono Haath Barahoon GaPhir Dil Say Dil Mil Jaain GayYoon Hum Sub Aik Ho Jaain Gay

Your Comment Comment Head Icon

Login