Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein
Kyun dil dene ki waje hoti hein
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai
Kyun iss dil ko samjana padta hai
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota
Kyun sabko ye manzoor nahin hota
Kyun dil se dil nahin milta
Kyun pyaar ka phool nahin khilta
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata
Dil mein kya hai ye keh nahin pata
Kya dil dene ki yahi saza hai
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai

Your Comment Comment Head Icon

Login