Saath chal saktay hain paas asakty nahi,
Ek nadi kay do kinaroon ko mila saktay nahi.
Denay walay nay dia sab kuch ajab andaz say,
Samnay duniya pari hai utha saktay nahi.
Us bki bhi majborian hain’mere bhi majborian hain,
Roz miltay hain lakin ghar may bata saktay nahi.
Kis ny kis ka naam eenthon par likha hai khoon say,
Ishtaharon say yeh dewarain chupa saktay nahi.
Admi kia hai guzartay waqt ki tasveer hai,
Janay walon ko sada day kar bula saktay nahi.
Us ki yadon say mehknay lagta hai sara badan,
Pyar ki khushbu ko seenay may chupa saktay nahi.
Pathron kay bartanoon may ansoo’on ko kia rakhain,
Phool ko alfaaz kay gamlon may khila saktay nahi.

Your Comment Comment Head Icon

Login