Shararat na hoti Shikayat na hoti
Nainon me kisi ke Nazakat na hoti
Na hoti bekarari Na hote hum tanha
Agar jahan me kambakht Ye mohabat na hoti
Agar jahan me kambakht Ye mohabat na hoti
Na hote ye sapne Ye khwabon ki duniya
Kisi ko chahat ki Tamanna na hoti
Na julfo ki chaya Na phulon ki khushbu
Yadon me unki Ye rate na kat ti
Jo na hoti mohabat Ye ansu na hote
Dil bhi na khota Aj tanha na rota
Diwanon si apni Ye halat na hoti
Agar jahan me kambakht Ye MoHoBBaT na hoti.

Your Comment Comment Head Icon

Login