Suna hai aaj kal wo pareshan rehta hai,
Usse kehna be-fikar main bhi nahi hu.!!
Suna hai wo raaton ko jaga karta hai
Usse kehna soti main bhi nahi hu
Suna hai wo chhup chhup ke rota hai
Usse kehna hansti main bhi nahi hoon
Suna hai wo mujhe yaad bahut karta hai
Usse kehna bhooli main bhi nahi hoon
Suna hai usne wafa ka daawa kiya hain
Usse kehna bewafa main bhi nhi hoon

Your Comment Comment Head Icon

Login