Muhabat Ki Tabiyat Main Yeh Kaisa Banchpana Qudrat Ne Rekha HaiK Yeh Jitni Purani Jitni Mazbot Ho JayeIse Taeede Taza Ki Zarorat Phir Bhi Rehti HaiYaqeen Ki Akhri Had Tak Dilon Main Lehlahati HoNigahun Se Tapakti Ho Lehu Main Jagmgati HoHazaron Tarah K Dilkash Haseen Hale Banati HoIse Izhaar K Lafzun Ki Hajat Phhir Bhi Rehti HaiMuhabt Mangti Hai Youn Gawahi Apne Hone KiK Jaise Tifl E Sada Sham Ko Ik Beej BoyeAur Shab Main Barha UttheZameen Ko Khod Kar Dekhe , K Pooda Ab Kehan Tak HaiMuhabt Ki Tabiyat Main Ajab Takrar Ki Khu HaiK Yeh Iqrar K Lafzun Ko Suunne Se Nahi ThaktiBichardne Ki Ghardi Ho Ya Koi Milne Ki Saaat HoIse Bas Aik Hi Dhun HaiKeho” Mujh Se Muhabat HaiKeho Mujh Se Muhabbat HaiTumhain Mujh Se Muhabat HaiSumander Se Kahin Gehri,Sitarun Se Siwa RoshanPahardun Ki Tarah Qaim , Hawaon Ki Tarah DaaimZameen Se Asman Tak Jis Qadar Ache Manazar HainMuhabt K Kanaye Hain Wafa K Istaare HainHumare HainHumare Waste Ye Chandni Ratain Sanwarti HainSunehra Din Nikalta HaiMuhabt Jistaraf Jaye Zamana Sath Chalta Hai”Kuch Aisi Be-Sakooni Hai Wafa Ki Sarzameenon MainK Jo Ehl-E-Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti HaiK Jaise Phool Main Khushboo, K Jaise Hath Main ParaK Jaise Sham Ka TaraMohabbat Karne Waloon Ki Seher Ratoon Main Rehti HaiGuman K Shak-Choon Main Aashian Banta Hai Ulfat KaYe Ain-E-Visl Main Bhi Hijr K Khadshoon Main Rehti HaiMohabbat K Musafir Zindagi Jab Kaat Chukte HainThakan Ki Kerchiaan Chunte, Wafa Ki Afrkiaan PehneSame Ki Rah Guzar Ki Aakhri Sarhad Pe Rakhte HainTo Koi Doobti Sansoon Ki Dori Tham KarDheere Se Kehta Hai”Ye Sach Hai Na !!Hamari Zindagi Ek Dosre Ke Naam Likhi ThiDhund-Laka Sa Jo Aankhoon K Qareeb-O-Door Phela HaiIsi Ka Naam Chahat HaiTumhain Mujh Se Mohabbat Thi” Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi ””Mohabbat Ki Tabiat MainYe Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai

Your Comment Comment Head Icon

Login