Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai; Dard-De-Dil Ki Inteha Maloom Hai; Zindagi Me Kabhi Muskurane Ki Dua Na Dena; Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Maloom Hai

Jab Sath Uska Chaha Tu Sham -o-Sehar Mila; Muj Ko Mere Naseeb Ka Aesa Samar Mila; Thi Zindagi Mai Dhop Ki Chadar Tani Hui; Saya Dia Hai Ishq Ka Aesa Shjar Mila

Jo Koi Samajh Na Sake Wo Baat Hai Hum; Jo Dhal Ke Nayi Subah Laye Wo Raat Hai Hum; Chhod Dete Hai Log Rishte Banakar; Jo Kabhi Chhod Ke Na Jaye Wo Sath Hai Hum

Dil Ke Liea Dard Bhi Roz Naya Chahiye; Zindagi Tu Hi Bata Kaise Jeena Chahiea; Maano Meri Kazmi Tum Ho Bhaley Aadmi; Phir Bhi Wohi Aawargi Kuch To Haya Chahiye

Aaghosh Mein Mehkoge Dikhai Nahi Doge; Tum Nikhat-e-Gulzar Ho Hum Parda-e-Shab Hain Meaning: Nikhat-e-Gulzar = Fragrance of garden Parda-e-Shab = Veil of night

Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki; Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona Translation: Giriya = Weeping Kaashaana = House Bayaabaan = Wilderness

Jalva Az Bas Ki Taqaaza-e-Nigah Karta Hai; Jauhar-e-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona Translation: Az = From/Then/By Jauhar = Skill/Knowledge Mizhgaan = Eyelid

Khuda Kare Ke Naya Sal Aap Ko Raas Aa Jaye; Jisse Aap Chahte Ho Woh Aap Ke Pass Aa Jaye; Aap Sara Sal Kanware Na Rahein; Aap Ka Rishta Le Kar Aap Ki Saas Aa Jaye

Kya Sirf Musaan Ke Pyare Hain Hussain; Chiraag-e-Noh Bashar Ke Tarey Hain Hussain; Insaan Ko Baidaar To Ho Lene Do Zara Tum; Har Kaum Pukare Gi Hamare Hain Hussain

Kisi Ke Dil Mein Basna Bura Toh Nahi; Kisi Ko Dil Mein Basana Khata Toh Nahi; Hain Ye Zamane Ki Nazar Me Bura Toh Kya Hua; Zamane Wale Bhi Insaan Hai Khuda Toh Nahi

Saza Na Do Mujh Ko Be-Qasoor Hoon Mein; Tham Lo Mujko Ghamon Se Choor Hoon Mein; Tere Pyar Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe; Aur Logon Ka Kehna Hai Kitna Maghror Hoon Mein

Ghairon Mein Hain Jo Shaad Unhein Eid Mubarak; Jinko Nahin Hum Yaad Unhein Eid Mubarak; Masoom Se Armaanon Kee Masoom Si Duniya; Jo Kar Gaye Barbaad Unhein Eid Mubarak

Har Shaam Guzarti Hoon Main Teri Gali Se; Daaman Magar Taar Hota Hai Aankhon Ki Nami Se; Jis-Jis Lamhe Mein Tu Na Raha Mere Rubaroo; Nafrat Hai Mujhe Us Har Ek Ghari Se

Aansu Na Hote To Aankh Itni Khoobsurat Na Hoti; Dard Na Hota To Khushiyon Kee Keemat Na Hoti; Poori Karta Rabb Yun Hi Sab Muradein; To Ibadat Kee Kabhi Zaroorat Na Hoti

Khwabon Ke Andar Zinda Mat Raho; Balki Apne Andar Khwabon Ko Zinda Rakho; Mohabbat Usse Nahin Hoti Hai Jo Khoobsurat Ho; Khoobsurat To Wo Hota Hai Jisse Mohabbat Hoti Hai