Haaye Zaalim Ne Zara Sa Bhi Takaluf Na Kiya; Hum Ne Chaahi Jo Ijaazat To Ijaazat De Di

Ghar To Basa Liya Hai Hum Ne Mil Kar Apna; Sheeshay K Ghar Mein Kaise Rah Painge Batao

Jin Ko Toofan Se Ulajhne Ki Aadat Ho Mohsin; Aisi Kashti Ko Samandar Bhi Duaa Dete Hain

Hairat Hai Tumko Dekh Ke Masjid Mein Ai Khumar ; Kya Baat Ho Gayi Jo Khuda Yaad Aa Geya

Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi; Gumrah Toh Wo Hai Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi

Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr; Ka aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage

Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge; Shab-e-Firaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne

Unke Dekhne Se Jo Aa Jati He Muhn Per Roneq; Woh Samajte Hain K Beemar Ka Haal Acha Hai

Yeh Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Barabar Aag Lagti; Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota

Manzil To Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi; Gumraah To Woh Hain Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi

Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai; Aankho Ne Kabhi Mile Ka Patthar Nahi Dekha

Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain Ankhein Hain; Main Unn Mein Doob Geya Aitbar Karte Hue

Doobty Doobty Kashti Ko Saahil Pe Uchaal Doon Ga; Mein Nahi Koi To Saahil Pe Utar Jaye Ga

Hairat He Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae Insaan; Aaj Kya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya

Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniyaa Mein; Mein Aadmi Hoon Farishton Ke Sath Kese Rahoon