Jaan Kyon Nikalne Lagi Hai Tan Se Dam-e-Sama; Gar Woh Sada Samaai Hai Chang-o-Rabab Mein Translation: Listening why does a soul struggle to leave its body If the divine voice resides in the instruments before us

Waaste De De Ke Khuda Se Teri Khushiyon Ki Dua Maangi Hai; Aaj Phir Tere Liye Maine Kismat Se Waafa Maangi Hai Chaand Taaron Sa Tabassum Maine Manga Hai Rab Se; Tere Aangan Ke Liye Phir Baharon Ki Fiza Maangi Hai Uss Ke Jeevan Me Andhera Naa Ho Ek Pal Mere Maula; Jis Ki Khatir Maine Har Pal Sajdon Me Dua Maangi Hai

Haan Woh Nahi Khuda Parast Jao Woh Bewafa Sahi; Jisko Ho Din-o-Dil Aziz Uski Gali Mein Jaye Kyon; Ghalib-e-Khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain; Roiye Zaar Zaar Kya Kijiye Haaye Haaye Kyon Translation: Granted they are not a lover of God yes they are unfaithful Whoever holds creed and heart beloved do not dare to wander up their way Without this brittle Ghalib what industry willbe stopped? Why cry so incessantly why lament so endlesly?

Gulistanon Pe Hi Naheen Moqoof; Junglon Mein Bhi Phool Khilte Hain

Gar Na Ho Surat To Seerat Hi Sahi; Kuch To Hona Chahiye Insaan Mein

Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes Ghalib ; Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain

Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon; Kash Poochho Ke Mudda a Kya Hai

Naadani Ki Had To Dekho Uski; Mujhe Kho Kar Mere Jaisa Talaash Karti Hai

Kitaab-e-Zeest Ka Ek Aur Baab Hatam Hua; Shabaab Hatam Hua Azaab Hatam Hua

Dekhte Hai Ab Kis Ki Jaan Jaayegi; Usne Meri Aur Maine Uski Kasam Khayi Hai

Bay Hoodi Rahbar Hoosh Hoti Jaati Hai; Jaane Kya Cheez Faramosh Hui Jaati Hai

Chand Nikale Kisi Janib Teri Zebai Ka; Rang Badle Kisi Surat Shab-E-Tanhai Ka

Pucho To Ek Ek Hai Tanhaa Sulag Raha; Dekho To Shehar Shehar Hai Mela Laga Hua

Maktab E Ishq Ka Dastor Nirala Dekha; Osko Chutti Na Mile Jisne Sabaq Yad Kiya

Iss Daur Ka Ek Bada Fasaadi Hoon Main; Jo Sach Lage Bas Wohi Keh Deta Hoon Main