Phirate hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagarek dusare ke hamsafar main aur meri aavaragina aashana har rahguzar na meharban hai ek nazarjayen to ab jayen kidhar main aur meri aavaragihum bhi kabhi aabad the aise kahan barbad thebifikr the aazad the masarur the dilshad thewo chal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gayanikle jala ke apna ghar main aur meri aavaragiwo mah-e-vash wo mah-e-ruh wo mah-e-kamil hubahuthin jis ke baten kubaku us se ajab thi guftaguphir yun hua wo kho gai aur mujh ko zid si ho gailayenge us ko dhund kar main aur meri aavaragiye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gayakahane ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya bah gayajab kah kar wo dilbar gaya tee liye main mar gayarote hain us ko raat bhar main aur meri aavaragiab gham uthayen kis liye ye dil jalayen kis liyeaansu bahayen kis liye yun jan gavayen kis liyepesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanamhonge kaheen to kargar main aur meri aavaragiaasar hain sab khot ke imkan hain sab chot keghar band hain sab kot ke ab khatm hai sab totakeqismat ka sab ye khel hai andher hi andher haiaise hue hain beasar main aur meri aavaragijab hamdam-o-hamraz tha tab aur hi andaz thaab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz thaab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kyaek behunar ek besabar main aur meri aavaragi

Your Comment Comment Head Icon

Login