Tune dekha hai kabhi ek nazar sham ke badkitne chup-chap se lagate hain shajar sham ke baditane chup-chap ke raste bhi rahenge la-ilmchod jayenge kissi roz nagar sham ke badmain ne aisee hi gunah teri judai mein kiyejaise tufan mein koi chod de ghar sham ke badsham se pahale wo mast apni udanon mein rahajis ke hathon mein the tute hue par sham ke badraat biti to gine aable aur phir sochakon tha bais-e-agaz-e-safar sham ke badtu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukhtu kisi roz mere ghar mein utar sham ke badlaut aaye na kissi roz wo aawara majazkhol rakhte hain isi aas pe dar sham ke bad

Your Comment Comment Head Icon

Login