Gam-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunchemujhe khauf hai ye tohamat mere naam tak na pahunchemain nazar se pee raha tha to ye dil ne bad-dua ditera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunchenai subah par nazar hai magar aah ye bhi dar haiye sahar bhi rafta rafta kaheen sham tak na pahunchewo nava-e-muzamahil kya na ho jis mein dil ki dhadakanwo sada-e-ahale-dil kya jo avam tak na pahuncheunhen apne dil ki khabaren mere dil se mil rahi hainmain jo unase ruth jaun to payam tak na pahuncheye ada-e-beniazi tujhe bevafa mubarakmagar aisi berukhi kya ki salam tak na pahunchejo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga diuthe har nigah lekin koi bam tak na pahunchewohi ik khamosh nagma hai “shakeel” jan-e-hastijo zuban tak na aaye jo qalam tak na pahunchePoet of the poem/ghazal or Nazam: Shakeel Badayuni

Your Comment Comment Head Icon

Login