Gazab kiya, tere wade pe aitabar kiyatamam raat qayamat ka intezar kiyahansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiyatasalliyan mujhe de-de ke beqarar kiyahum aise mahv-e-nazara na the jo hosh aatamagar tumhare tagaful ne hoshiyar kiyafasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thikuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiyaye kis ne jalva hamare sar-e-mazar kiyaki dil se shor utha, hae! beqarar kiyatadap phir ae dil-e-nadan, ki gair kahate hainaakhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiyabhula bhula ke jataya hai unko raz-e-nihanchipa chipa ke mohabbat ko aashakar kiyatumhen to vada-e-didar hum se karana thaye kya kiya ke jahan ko ummidavar kiyaye dil ko tab kahan hai ke ho malandeshunhone wada kiya hum ne aitabar kiyana puch dil ke haqiqat magar ye kahate hainwo beqarar rahe jisne beqarar kiyakuch aage davar-e-mahashar se hai umeed mujhekuch aap ne mere kahane ka aitabar kiyaPoet of the poem or ghazal or Nazam is Daag Dehlvi

Your Comment Comment Head Icon

Login