Zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hainmain to mar kar bhi meri jan tujhe chahungatu mila hai to ye ehasas hua hai mujhkoye meri umr mohabbat ke liye thodi haiik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis parmain ne wo sans bhi tere liye rakh chodi haitujh pe ho jaunga quraban tujhe chahungaapne jazbat mein nagmat rachane ke liyemain ne dhadakan ke tarah dil mein basaya hai tujhemain tasavvur bhi judai ka bhala kaise karunmain ne qismat ke lakiron se churaya hai tujhepyar ka ban ke nigehaban tujhe chahungateri har chap se jalate hain khayalon mein chiragjab bhi tu aaye jagata hua jadu aayetujh ko chu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhkoder tak apne badan se teri khushbu aayetu baharon ka hai unawan tujhe chahungaPoet  of  the Poem or Ghazal or Nazam :Qateel Shifai

Your Comment Comment Head Icon

Login