Utray Jo Zindagi Teri Gehraiyon Mai HumMehfil Mai Reh Ke Bhi Rahe Tanhaiyon Mai HumDeewangi Nahi To Or Kya Kahein Isse ?Insaan Dhoundtay Rahay Parchaiyon Mai Hum

Tum Kya Jaano Kya Hoti Hai Tanhai,Tute Hue Patte Se Puchho Kya Hoti Hai Judai,Yu Bewafai Ka Iljam Na Do Mere Dost,Is Waqt Se Puchho Kab Yaad Teri, Mujhe Nahi Aai.

Na Meri Koi Manzil HaiNa Koi KinaraTanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera SaharaApno Se Bichad Ke Humne, Kuch Yu Waqt GujaraKabhi Zindagi Ko Tarshe, Kabhi Maut Ko Pukara

Sath Dene Ke Liye Tanhai Ko Kyu Bulati Ho,Har Kadam Pe Hi Kyu Tum Mayus Ho Jati Ho,Abhi To Shuru Huyi Hain Ye Zindgi Aye Dost,Abhi Se Hi Tum Itna Kyu Bechain Ho Jati Ho.

In Behte Hue Aansuon Se Aqidat Hai Mujhe BhiUnki Tarha Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe BhiWo Agar Nazuk Hain To Main Bhi Pathar NahiTanhai Mein Rone Ki Aadat Hai Mujhe Bhi.

Jab Bhi Akele Baithna To Hume Yaad Karna,Muskil Se Hi Sahi Magar Humse Baat Karna,Duaa Hain Jaha Bhi Jaao Har Khushi Pawo Tum,Phir Bhi Aankhe Bhar Aaye To Hume Yaad Karna.

Zindagi Ki Kashti Kab Lagay, Koon Say KinarayKab Isay Milay Gi, Man Chahi BaharainJeena To Paray Ga Hi Kaisay Bhi PyarayKabhi Doston Ki Bheer Main, To Kabhi Tanhai K Saharay

Uojray Huay Logoon Say Gureizaan Na Hua KarHallat Ki Qabroon Kay Qatbay Bhee Phaarha KarHar Waqt Ka Hansna Tughay Barbad Na Kar DayTanhaee Kay Lamhoon Mein Kabhee Ro Bhee Lia Ka

Wo Bhi Tanha, Mein Bhi TanhaBhir Mein Har Shaqs TanhaRaat Ke Aagosh MeinKat Ta Hai Ab Waqt TanhaUngliyon Ko Yaad Hai WoUske Haatho Ki ChuuanDhund Ke Chhat Jaane PeDekha Apna Haath Tanha

Har Raat Gum TanhaiHar Sham Teri Yaad AiJitna Tujhe Bhulana ChahaUtni Ziyada Teri Yaad AiTujh Se Koi Umeed Nahi WabistaIs Dukh Se Ankh Bhar AiLogo Ne Pocha Ashko Ka SababBus Hamein Kehna Para TANHAI

Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch Hadd Se Zyada HaiTere Sang Na Hone Ka Malaal Kuch Hadd Se Zyada HaiPhir Bhi Kaat Rahe Yeh Jiye Jane Ki Saza Yehi SochkarShayad Is Zindagani Mein Mere Gunaah Kuch Hadd Se Zyada Hai

Usne Mujhe Apni Bewafai Ka Sabut De Diya,Mujhe Meri Khushiyo Ki Judai Ka Sabut De Diya,Usne Dikha Diya ’Kumar’ Ishq-E-Wafa Ka Anjaam Kya Hota Hai,Mujhe Duniya Ki Bheed Me Meri Tanhai Ka Sabut De Diya.

Phir Aaj Wahi Saam Hai Saath Mein Hai Meri TanhaiZindagi Kuch Thami Huyi Si Lagti Hai Kaisi Hai Yeh KhudaaiKoshish Karta Hun Kisi Tarah Byaan Kar Sakun Apne Jazbaton KoSayad Isiliye Ban Jaati Hai Aksar Anjaane Mein Koi Rubai.

Yun To Milne Ko Hum Mile Hain BohatDarmiyan Phir Bhi Faasle Hain BohatTu Mili Bhi To Chund Pal K LiyeO Zindagi Tujh Se Gile Hain BohatEk Do Yaden Aur Tanhai MiliPyar Karne K Ye Sile Hain BohatYun To Milne Ko Hum Mile Hain BohatDarmiyan Phir Bhi Faasle Hain Bohat

Zindagi Mei Hijr Hai Aur Mei HooSirf Sabr Hai Aur Mei HooKabhi To Khushi Mere Qadam Chume GiAbhi To Bass Sabr Hai Aur Mei HooKhayaloon Mei TU Hai Aur Laboo Par TabassumDil Par Aik Boaj Hai Aur Mei HooAb To Itna Tanha Ho Chuka Hoo MeiZindagi Qabr Hai Aur Mei Hoo!