Khwab ke tarah se hai yaad ke tum aaye thejis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti haizarre zarre ko tajalli ke khabar hoti haiaur jab nur ka sailab guzar jata hairaat bhar ek andhere mein basar hoti haikuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye thejaise gulashan mein dabe paon bahar aati haipatti patti ke liye leke nikhar aati haiaur phir waqt wo aata hai ke har mauj-e-sabaapne daman mein liye gard-o-gubar aati haikuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye thejis tarah mahv-e-safar ho koi virane meinaur raste mein kaheen koi khiyaban aa jayechand lamhon mein khiyaban ke guzar jane parsamane phir vohi duniya-e-biyaban aa jayekuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the

Your Comment Comment Head Icon

Login