Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kyazakhm ke bharne talak nakhun na badh jayenge kyabeniyazi had se guzri banda paravar kab talakhum kahenge hal-e-dil aur aap farmayenge kyahazarat-e-naseh gar aayen dida-o-dil farsh-e-rahkoi mujh ko ye to samajha do ki samajhayenge kyaaj van teg-o-kafan bandhe hue jata hun mainuzr mera qatl karne mein wo ab layenge kyagar kiya naseh ne hum ko qaid acha yon sahiye junun-e-ishq ke andaz chut jayenge kyakhana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kyahain giraftar-e-vafa zindan se ghabarayenge kyahai ab is mamure mein qahat-e-gam-e-ulfat asadhum ne ye mana ki dilli mein rahe khayenge kya

Your Comment Comment Head Icon

Login