Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarahmera vajud hai jalate hue makan ke tarahbhari bahar ka sina hai zakhm zakhm magarsaba ne gaye hain lori shafiq man ke tarahwo kon tha jo barahana badan chattanon selipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ke tarahsakut-e-dil to jazira hai barf ka lekintera khulus hai suraj ke sayeban ke tarahmain ik khwab sahi aap ke amanat hunmujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ke tarahkabhi to soch ke wo shakhs kis qadar tha bulandjo bich gaya tere qadmon mein aasman ke tarahbula raha hai mujhe phir kisi badan ka basantguzar na jaye ye rut bhi kaheen khizan ke tarahlahu hai nisf sadi ka jis ke aabagine meinna dekh “prem” use chashm-e-argavan ke tarah

Your Comment Comment Head Icon

Login