Dost gamkhvari mein meri sai farmayenge kyazakhm ke bharne talak nakhun na badh jayenge kyabeniyazi had se guzri banda paravar kab talakhum kahenge hal-e-dil aur aap farmayenge kyahazarat-e-naseh gar aayen dida-o-dil farsh-e-rahkoi mujh ko ye to samajha do ki samajhayenge kyaaj van teg-o-kafan bandhe hue jata hun mainuzr mera qatl karne mein wo ab layenge kyagar kiya naseh ne hum ko qaid acha yon sahiye junun-e-ishq ke andaz chut jayenge kyakhana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kyahain giraftar-e-vafa zindan se ghabarayenge kyahai ab is mamure mein qahat-e-gam-e-ulfat asadhum ne ye mana ki dilli mein rahe khayenge kya

Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka,Har Teer Ko Paivest Rug-E-Jaan Nahin Kertay,Yeh Masla Ab Ahal-E-Mohabbat Ka Hai Apna,Mertay Hain To Kuch Aap Pay Ahsaan Nahin Kertay,Khat Layain Na Layain Tera Hum Naama Bron Ko,Bus Daikhtay Rehtay Hain Paraishan Nahin Kartay,Aisay Bhi Tou Rakhtay Nahin Khanjar Pay Gulo Ko,Itna Bhi To Qatil Ko Pashaiman Nahin Kartay,Kub Shamain Jalata Hai Shab-E-Mah Main Koi,Tu Ayai Tou Ham Ghar Main Charaghan Nahin Kartay,Logon Ko Guman Tuk Nahin Hota Hay Junoon Ka,Hum Dil Ki Tarah Chaak-E-Garaiban Nahin Kertay,Hum Tuj Kay Chalay Aatay Hain Yaaro Dar-E-Janan,Ghalib Ki Tarah Minnat-E-Darban Nahin Kertay

Kuchh Aise Zakhm Bhi Ham Dil Pe Khaaye Baithe HainJo Chaarasaazon Kii Zid Se Chhupaaye Baithe HainNa Jaane Kaun Saa Aansoo Kisii Se Kyaa Kah DeHam Is Khayaal Se Nazrein Jhukaaye Baithe HainNa Khauf-E-Baad-E-Mukhaalif, Na Intezaar-E-SaharHam Apne Ghar Ke Diye Khud Bujhaaye Baithe HainHamaaraa Zauq Khudaa, Vaqt Kaa Mizaaj JadaaHam Ek Goshe Mein Khud Ko Chhupaaye Baithe HainHamare Dil Mein Hain Mahfooz Chand Taaj MahalJinhein Ham Apnaa Muqaddar Banaaye Baithe HainZamaanaa Dekhaa Hai Ham Ne Hamaari Qadr KaroHam Apnii Aankhon Mein Duniyaa Basaaye Baithe HainHam Apni Zaat Se Ik ‘Ahd Hain Magar IqbaalHam Apne Aap Ko Qisaa Bhulaaye Baithe Hain

Jo Zakhm Tu Nay Diye Thay Woh Bhertay Jatay HainCharhay Hoay Thay Jo Dariya Utartay Jatay HainYeh Ahel-e-Shahr-e-Wafa Hain Ajab Bahar ParustSarooo Kay Phool Faseelo’n Pay Dhertay Jatay HainNahi Hai Aur Tu Kuch Bhi Hamaray Hatoo’n MainSiva Ye Arz-e-Tamman Na So Kertay Jata HainAjeeb Loog Hain , Yeh Ahel-e-Intezaar Kay JoKhud Apni Aag Main Jul Kar Sa’nwertay Jatay HainNajanay Kaun Si Basti Kay Hain Yeh Bashindey!Nazar Uthatey Nahi Aur Guzertay Jatay HainYeh Aaj Shaher Pay Utri Hay Kis Bala Ki RaatCharaagh Apni Lawoo’n Say Mukertay Jatay HainDarakht Shaam Ko Lagtay Hain Shaher Say AmjadKay Shaakh Shaakh Parinday Utartay Jatay Hain

Phhol Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi DetaZakham Teri Dehleez Per Laon KaisePayamber Na Muyaser Hua To Kia Khoob HuaZabaan Gher Se Kia Sherh-E-Arzoo KertePaas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rehta HaiPhelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki TarahAks Khushbo Hon Bikherne Se Na Roke KoiAur Bikher Jaon To Na Samete Koi.Jis Tarah Khuwab Ho Gae Gae Reza RezaIs Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.A Mere Gul-E-Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab KiAahl-E-Kitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.Woh Jawab De Ker Bhi Der Tak Sochta RahaKoi Baat Sawal Mein Mere Aa AgaiToo Badlta Hai To Be Saakhta Meri AankhenApne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.Ek Se Musaafir Hein Ek Saa MuqaderMein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per ChaandWoh Jawaz Dhoondh Rahi Thi Nai Muhabat KaKeh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon

Zukham Muskaratay Hain Ab Bhi Teri Aahat ParDard Bhool Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParShubnami Sitaroo Main Phool Khilnay Lagtay HainChand Muskaratay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParUmer Kaat Di Liken Buchpana Nahi Jata HainHum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParGhunteiya Si Bujti Hain Ruqs Honay Lagta HainDard Jugmagatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParTairi Yaad Aaein Tou Neend Jati Rehti HainKhawab Toot Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParJo Situm Karay Tou Sub Qubool Hain Dil KoHum Khushi Munatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParAb Bhi Tairi Aahat Par Chand Muskarata HainKhawab Gugnatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParTairay Hijjar Main Hum Par Ek Azab Tari HainChonk Chonk Jatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParDastakeen Sajanay Kay Manzar Nahi RahtayRastay Sajatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat ParAb Bhi Tairi Aahat Par Aas Lout Aati HainHum Diyay Jalatay Hain Ab Bhi Tairi Aahat Pa