Ab ke tajdid-e-vafa ka nahi imkan jananyaad kya tujh ko dilayen tera paiman jananyun hi mausam ke ada dekh ke yaad aaya haikis qadar jald badal jate hain insan jananzindagi teri ata thi so tere naam ke haihum ne jaise bhi basar ke tera ehasan janandil ye kehta hai ki shayad ho fasurda tu bhidil ke kya bat karen dil to hai nadan jananavval-avval ke muhabbat ke nashe yaad to karbepiye bhi tera chehara tha gulistan jananaakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahirag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jananmuddaton se ye aalam na tavaqqo na umeeddil pukare hi chala jata hai janan jananhum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakha thagam-e-dauran se juda hai gam-e-janan jananab ke kuch aisi saji mahafil-e-yaran janansar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jananhar koi apni hi aavaz se kanp uthta haihar koi apne hi saye se hirasan jananjis ko dekho wohi zanjir-ba-pa lagata haishahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jananab tera zikr bhi shayad hi gazal mein aayeaur se aur hua dard ka unvan jananhum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete thehum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jananhosh aaya to sabhi khwab the reza-rezajaise udate huye auraq-e-pareshan janan.

Your Comment Comment Head Icon

Login