Hijr ke shab nala-e-dil wo sada dene lagesunane wale raat katane ke dua dene lagekis nazar se aap ne dekha dil-e-majaruh kozakhm jo kuch bhar chale the phir hawa dene lagejuz zamin-e-ku-e-janan kuch nahi pesh-e-nigahjis ka daravaza nazar aaya sada dene lagabagban ne aag di jab ashiyane ko merejin pe takiya tha wohi patte hawa dene lagemutthiyon mein khak lekar dost aaye vaqt-e-dafnzindagi bhar ke muhabbat ka sila dene lageaaina ho jaye mera ishq un ke husn kakya maza ho dard agar khud hi dawa dene lage

Your Comment Comment Head Icon

Login