Khusbo ko titliyon ke paro-n may chupaon ga phir nely nely badlon may loot jaon ga   Dewana war muje sy lipat jay gi hawa may surakh surakh pholo-n may jab muskuraon ga   Sony ke phol patty giray gy zameen par may zard zard shakho par jab gungunao ga   Ye lakrdiyan jo kushk hy bey barg-o-bar hy en ko may apni aag may jalna sikhao ga   Denaar khob barsy gi angan may sari raat may khawab ke shajar ki wo shakh hilaon ga   Dhul jay gi badan pay jami dhoop ki teh apny laho may aj may esa nahao ga   ek pal ki zindagi behad muje aziz hy palkon pay jhilmilaon ga or phr toot jaon ga   Ye raat phir na aye gi badal barsny dy may janta ho subh0 tuje bhol jao ga   Es din bajay os ke tapkay ga surakh khon talwar ly kar jab may khalaon may jaon ga   Jab raat ke sappurd muje karna aon gy romal raoshni ka hawa may urdaon ga   angan may nany nany farishty lardy gy jab bhroii shafeeq akknho may,may muskoraon ga    

Khuda janay tumharay zehn mein kia hai? Meray baray mein tum kia sochti ho, kah nahi’n sakta. . Magar mein is liye milney se katraata hoon tum se. . K wo baatain jo hum likhtay hain apny khat mein chahat se. . Wo baatain aur baatain hain. . Wo baatain aisi baatain hain k bus baatain hi baatain hain. . Haqeeqat mukhtalif hai aisi baato’n se. . Haqeeqat kia hai? Iss adraak tak tum kaisy pohncho gi? Haqeeqat munkashif hoti nahi’n alfaaz likhney se. . Zubani guftugu se, bahami izhaar-o-arz-e-haal karny se. . Boht si aisi baatain hain. . Jinhain sunnay ko kaano’n ki nahi’n aankho’n ki haajat hai. . Agar tum mujh sy milney per both israar karti ho. . To phir ik shart hai. . Ik lafz bhi na kehna, na honto’n se. . Faqat aankho’n se aankhain guftugu karti rahaingi. . Khalaa apny sawalo’n ka. . In aankho’n ki sadaain khud ba-khud bharti rahaingi. . Agar milna zaruri hai. . Tou choti se meri ye shart apny zehn mein rakhna. . !

Tum mujh se juda ho kar bhi mere sath rehte the, Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the, Kabhi dard ki surat main, kabhi meri hi murat main, Kabhi yaron ki sohbat main, kabhi tanhai ki lazzat main, Mere dil ko hamesha hi, bohat tum raas rehte the, Tum mujh se door the lekin, mere tum paas rehte the, Main jab ghar se nikalta tha, meri tum soch ban jate, Mujhe jo shakhs nazar ata, us main tum nazar ate, Tum mujh se door the chahe, meri tum aas rehte the, Tum mujh se door the lekin, mere tum paas rehte the, Jab main tanha hota to, tum meri awaz ban jate, Mere andaz ban jate, mere alfaz ban jate, Jitny dard thy mery, youn abad rehte the, Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the, Tum mere khyalon main. jawabon main, sawalon main, Shamon ki udasi main. subha k ujalon main, Aur mere dil ke aangan main, hamesha khas rehte the, Tum mujh se door the lekin, mere tum pas rehte the, Mujhe tum ye batao ke, mujhe kya yaad karte the, Kabhi mere kahe alfaz, tujhe barbad karte the, Kya andar se tum bhi, youn hi udas rehte the, Tum mujh se door thy lekin, mere tum pas rehte the.. Muhammad Irfan Arshad

suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain.. dooriyan betaabi badhati hain.. par, jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain? door jaane par kyon unka ehsaas karte hain? samandar ko tha garoor gehraayi par apni.. aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni? sharm se zaar zaar ho gaye dono?. jab unhe bataayi humne dosti apni? aye khuda aaj tujhse iltaza hai meri? tu rakhna mere dost ko itni hifazat se.. na gamo ka ho saaya us par.. rahe har pal khushiyon ka dera? kyonki bahut naazuk sa hai yeh dost mera?!!! dhoond raha hoon main kahin? mujhe us cheez ki talaash hai? kho gayi hai mere yaar ki haansi.. koi to bata de kiske paas hai???? jaaonga uske paas aur poochoonga? ?ab lauta do mujhe woh `muskurahat?? jo tumne mere dost se cheeni hai? kya dushmani thi tumhe mere dost ke saath??? ke mujhe thodi saanse aur leni hai?.!!!? naa jaane kahaan kho gayi hai woh hansi.. jo mere dost ke saath rehti thi kabhi.. aye khuda,, meri fariyaad hai aaj tujhse? Lauta de ,Lauta de, Lauta de,? woh hansi yaar ki..!!!! muskurahat kuch chhin si gayi hai mere yaar ki? ke chehra uska kuch murjhaya sa lagta hai?. jaise chaand ko kami ho gayi ho roshni ki.. jaise suraj bhi andhere mein nahaya sa lagta hai..