Phir us ki yaad mein dil beqarar hai Nasir, Bichar ke jis se huyi sheher sheher ruswayi..

Teri muhabbat ka boj dhohne se reh gea hon, Muje ye dukh hai me tere hone se reh gea hon.

Tum pass nahin ho to ajab hall ha dil ka, Yon jaise main kuch rakh k kahen bhool gai hon.

Aik aahatt bhi nahin chorr saka jatey huye, Itna chup chaap barabar se utha kon tha woh..

Abhi hai umeed ke woh bichrra hua saath, Kisi morr per mil kar humein hairaan kar de ga..

Wafa Ki Laaj Mein Usse Mana Lete To Accha ThaAnaa Ki Jung Mein Aksar Judai Jeet Jaati Hai

Nishani jo tujhe di thi juda hotey huye, Pehen ke aa wohi kangan dil tujhe yad karta hai..

Hauslaa tujhko na tha mujhse judaa hone ka, Warnaa kajal teri ankhon mein na pheyla hota..

Hum judai me tumhari mar bhi sakte hain magar, Chate ye hain k nikale daam tumhare samane.

Khoshi se tarak e muhabbat ka ehad le ae dost, Magar ye daikh tera dil laho laho to nahin.

Tuj ko rukhsat karon kaise k mera dukh hai yahi, Phir nahin milta jo ik bar juda hota hai.

Khuli jb se aankh to is soch main gum hon, kaisay beetay ga ik or din us k baghair…!

Ab tak tou kher teri tamana mein katt gayi, Tu mil gaya tou sochta hon kya karon ga mein..

Ye judai ke hain rastey bari dor tak gaye hain, Jo gaya wo phir na aya meri bat maan jao..

Hazaar rang bharey zindagi ke khaakey main, Tere baghair yeh tasveer na’mukamal hai..