Aaj mujhe aaukat ka andaza ho gaya Maa ne chhua sukha gulab to taza hogaya Raat maine ghar p nahi khaya khana Kal meri maa ka bhi faaka hogaya

Maan ki dua khaali nahin jati, Us ki bd-dua bhi taali nahi jati, Bartan maanjh kar bhi Maaan, Teen chaar Bache paal hi leti hai, Magar teen chaar bachon se, Aik maan paali nahin jati…

Meri chahat ka jo jahan hai, wo meri maan hai, meri zameen ka jo asman hai, wo meri maan hai, mera sub kuch jis k nam hai, wo meri maan hai, hunsy mere jis k wagood se hai, wo mery maan hai..

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab Mere wujood ka saara nizam tum se hai Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin o nadaan Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai

Ye kamyabian ezaat ye naam tum say hay, Khuda ne jo b deya hay mukam tum say hay, Tumhary dam say hay mery lahoo mein khilty gulab, Mery wajood ka sara nizam tum say hay, Kanha bisaat janhan aor main kamsan o nadan, Ye meri jeet ka sb ehtamam tum say hay, Janhan janhan hay meri dushmani sabab main hon, Janhan janhan hay mera ehtram tum say hay,,!!!!!

Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai, Mere aansu jo bahe’n to rumaal ban jati hai, Jis roz maan ki duayain na samait kar mein nikloon, Us roz yeh zindagi bhi wabaal ban jati hai, Jo log azmat maan ki pehchaan ke chalte hain, Taareekh mein bhi un ki misaal ban jati hai, Maan ho agar saleeqa’mand aur ba’shaoor, Waqas, Us ke saaye mein shakhsiyat bakamaal ban jati hai..

Soyi nahin hoon mujhe sulaa do maan, Ajao mujhe lori sunaa do maan, Asshk meri aankhon se jam se gaye hain, Karke jabbr mujhe rulaa do maan, Dekh kitni be’tarteeb ho gayi hai zindagi meri, Bikhre hain mere baal bana do maan, Bohat ddar lagta hai mujh ko duniya se, Apne aanchal main mujh ko chupaa lo maan, Jall rahi hoon main ik be’naam si tapish se, Choom ke mera maatha bhuja do maan..

Wo mare badsalooki mai bi mujhy dua dati hai. Aghosh mai le kr sb ghum bhula date hai. Yun lagta hai jaisy jannat sy a rahe ho khushbo. Jb wo apny palu sy mujhy hawa dati hai. Mai agar kroon anjany mai koi ghalte. Meri ‘Maa’ es pr b muskura deti hai. Kya khub bnaya hai rab ny rishta ‘Maa’ ka. Weeran ghar ko b jannat bna dati hai ‘Maa’ ke bad mera kon sahara hai. Ye he soch mujhy kbe kabi rula dati hai…!!

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan, Ab mery baghair eid kaisy manao gi maan, Sab k bety jab aayen ge eid parh ke, Tum darwazy mein khari takti reh jaogi maan, Saway’yan jab bantny lago gi mohally mein, Tumhari palk aanson se bheeg jaye gi maan, Sham tak bhi jab na pohnch paonga ghar, Tery dil ki dharkan jaisy ruk si jayegi maan, Eid parh kr jab wapis aaonga duty pe, Tasali ye dil ko de kr so jaonga maan, Eid ka kiya hai agly saal phir ajyegi maan..

Maan Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Bohat Sa Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai, Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do, Dil-o-Jaan Nisaar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray, Muj Ko Na Shumar Karna, Aj Mera Akhri Din ha, Tumhay Staya, Tumhay Rulaya, Bohat Dukh diye hai tum ko, Mujhe Maaf Meray Yaar Karna, aj Mera Akhri din ha, Mai Chala KHUDA HAFIZ, Phir Milay Gey Jannat ma, Maa Akhri Baar Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din ha….! (Dedicated to Pakistan Army)

Wohi meri subh ,meri sham hoti thi Garmiyon ki dhop me,wo mera saibhan hoti thi Mere lie wo sehti thi tahne dosaron k Mere lie wo har waqt odas hoti thi Satata tha me use jii bhar k Lakin uss k labon par phir bhi dua hoti thi Chala jata tha me jab bhi kahen door Nazar hamaisha us ki darwaze par hoti thi Karta nahin tha talash kahen bhi me Uss k qadmoo me hi meri janat hoti thi Chor jate the jab bhi log bachpan me Uss k hathon me hi meri ongali hoti thi Ratjagon k azab jo mujh par otarte the Uss ki mohabbat hi meri lori hoti thi Qurban karti thi wo mujh par apna sab kuch Meri khoshi me hi uss ki khoshi hoti thi HUSSNAIN yad ati hai mujh ko wohi maa bar bar Meri shohrat jiss ki dauon se hoti thi