Chand ko maine asman ki gaod me sote dekha,Chand ki bewafai se maine lakhon taron ko rote dekha,Us pal ne to mujhe bhi rula diya,Jab maine in aankhon se tujhe kisi aur ka hote dekha………

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sochta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye….!

Teri yaadon ke chiragon ko jalaya har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya har shaam,
Maangi khuda se teri khushi ki duayein,
Tanha baith ke haatho ko uthaaya har shaam..

Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaatay Bahut Hain..
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaatay Bahut Hain..
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To Kaise..
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain!

Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The…
Ujale Me Bhi Shor Machaya Karte The…
Usi Diye Ne Jala Diya Mere Hatho Ko
Jis Diye Ko Hum Hawa se Bachaya Karte The…

Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Sath Hoti Hai Humdum,
Socha Is Mausam Me Tujhe Yaad Nahi Karenge,
Par Fir Socha Ki Hum Baarish Ko Kaise Rok Payenge…

Gehri thi raat, lakin hum khoye nahi,
Dard bahoot tha dil mein, lakin hum roye nahi,
Koi nahi hamara jo puche humse,
Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye hi nahi..!!

Patthar Ka Dil Kabhi Toota Nahin Karta
Dilon Ka Rishta Kabhi Chuta Nahin Karta
Woh Hame Patthar Dil Samajhte Hai Par Unhe Kya Pata
Patthar Pe Likha Naam Kabhi Mita Nahin Karta

Parwah kar uski jo teri parwah kare..!!
Zindagi mein jo kabhi na tanha kare..!!
Jaan ban ke utar jaa uski ruh mein~~
Jo jaan se b jyada tujhse "wafa aur Pyar" kare .!

Bachpan Key Din Bhi Kitny Achhe Hotey They
Tab Dil Nahi Bas Khiloney Tuta Krte They
Ab Ek Aansoo Girey Toh Saha Nhi Jaata,
Bachpan Mein Toh Dil Bhur Key Royaa Krte They…

Jisne kabhi chahton ka paigaam likha tha,
Jisne apna sab kuch mere naam likha tha,
Suna hai aaj use mere zikr se bhi nafrat hai,
Jisne kabhi apne dil par mera naam likha tha.

In phoolo me ab to mehek hi nahi hai,
In raaho ki ab koi manzil hi nahi hai,
Kar leta mai mom agar koi patthar dil hota to,
Par yaha to kisi me insani dil hi nahi hai…

Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai…

Duniya ko is ka chehrah dhikhana padha mujhe,
pardah jo darmiyaan tha haathana padha mujhe,
ruswaiyon ka khauf se mehfil mein aaj,
phir is bewafa se haath milana padha mujhe..