Maine dekha hai tumhe jab se machalta dil haiKitna samjhaya na samjha ye kaisa dil haiTu to sota hai bade chain se shab bhar lekinLekin socha hai ye kis hal main mera dil haiKar diya maine tumhare hi hawale ab toChahe jis tarah rakho ab ye tumhara dil haiTeri furkat main sanam hal bura hai meraMah-e-aab sa har waqt dharkta dil haiDekhna hai ki teri najre karam kab hogiSange dil tu hai to khuddar bhi mera dil haiMeri bato ka bura aapne mana kyon sanamMain jise chahunga dunga ye hamara dil hai..

Na Tujhay Choor Sakte Hain,Tere Ho Bhi Nahi SakteYeh Kaisi Be-Basii Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi SakteYeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Humay Tarpayee Rakhta HaiTumhari Yaad Aati Hai To Phir Soo Bhi Nahi SakteChupa Sakte Hain Aur Naa Hum Dekha Sakte Hain Logo KoKuch Aisay Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi SakteKaha Tha Choor Dein Gay Yeh Nagar Phir Ruk Gaye LekinTumhe Paa To Nahi Sakte Magar Khoo Bhi Nahi SakteHumara Aik Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab ToJiyeen Kaise Ke Tum Se Door Aab Ho Bhi Nahi Sakte

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte theYaad unhe din-raat kiya karte theAb un raahon se guzra nahi jaataJahan baith kar unka intzaar kiya karte the.______Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi KartaAur Main Zehmat-e-Faryad Bhi Nahi KartaKabhi Kabhi Wo Mujhe Itna Yaad Aata Hai dostonK Main Zid Mein Aa Kar Usey Yaad Bhi Nahi Karta..______Apni to mohabbat ki itni kahani hai,Tooti hui kashti or thera hua pani hai,Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai….

Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kaiseapni barson ki tadap chupaon kaiseraha na jaye mujh tere bin abmain apne dill ko samajhau kaisenajane kasi kashish hai tujh mainmain apne jazbat ko rok pau kaisenajne kaisi aas hai tujh semain apni umeedon ko rok pau kaisebara dilnashi hai ahsas teramain is ahsas se bahar aon kaisepata nahi kaisa he ye diwanapanmain apni diwangi ko rok pau kaisebare pyar se sajaya hai sapna ye apnamain apne in sapnoo ko tor pau kaisemain yahan tu wahanmain apne ap ko smbhal pau kaise...

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,jis pe likha tha ki tu meri muqaddar mein nahi,apne maathe ki woh tehreer mita li maine,har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,teri chaahat mein to umr bita li maine,mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,waqt ke haathon se ek nazm utha li maine,gheerey rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,teri yaadon se har ek saans saja li maine,jiske sheron ko woh sunkey bahut roya tha,bas wohi ek ghazal sabsey chupa li maine..

Hum apni wafawon ka sila kis say mangtayHum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtayKhud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawatPhir hum jo duwa mangtay to kis say mangtayJo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thayIs Dil kee duwa mangtay to kis say mangtayMahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum saykoyi shokh ada mangtay to kis say mangtayJo waqt guzar jaye tu wapis nahi aataWo waqt gaya mangtay tho kis say mangtayHum us kee justajoo main howe khud say be-ganayHum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay.!!

Dard-e-Dill Ki Kahaani bhi woh Khub Likhta haiKahin Par Bewafa to Kahin mujhe Mehboob Likhta haiKuchh to Rasm-e-Wafa Nibha Raha hai WohHar ek Saf-e-Kahaani me Woh Mujhe Majmoo’n Likhta haiLafzo ki Justazu Mere sang beete Lamho se leta haiSiyaahi Mere Ashq ko Banakar woh Har Lamha Likhta haiKashish Kyoun Naa ho Uski Daastaa’n-e-Dard Me yaarojab bhi Zikr Khud Kaa aata hai woh Khud ko Wafa likhta haiTahreerei’n Jhoot ki Sajaayi hai aaj Usne Apne Chehre ParKhud Ko Dard Ki Mishaa’l aur kahin Majboor Likhta hai...

Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya,Guzri Mohobat Kaa Har Lamha Yaad Aaya…Hui Mud_dat Aaj Tak Mujhme Kuchh Nahii Badla,Mere Khayaal Mein Teri Adaaon Par Naya Rang Aaya…Teri Yaadon Kii Aahat Ko Batorne Mein Hoon Juta,Bas Tera Karam Hai Yeh Jo Khud Ko Naa Samjha Paaya…Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya..

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilla Rakhain GainDil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain GainNa Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm UnhainDard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain GainJaan Dey Daingain Agar Aik Ishaara Kar DeyHam Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain GainSab Hata Daingain Teri Raah Ki RukawatainHamdam Ghar K Darwazay Ko Her Waqt Khula Rakhain GainUnki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain GainUnn Ki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain GainToot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki HussainiEk Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain..

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana HogaChiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana HogaNa Samjhna K Tumse Bicharh K Khush HainHumain Logon Ki Khaatir Muskuraana HogaPhir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj BhiDil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana HogaWaada Khilaafi Kar K Muskurate Ho AapDekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana HogaLahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh JaoungaThaam K Haath Main Phool Tumko Aana HogaAbhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K AapAbhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina HogaMuddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai SanamUmar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

Phir aansuon k kuch fasane nikle,maikhane se sharabo k paimane nikle,jo dil k haal ko samaj na paya,unko hum apne zakham dikhane nikle..————————Tera dard Bayaan karne ke liye lafz nahi milateMOhabbat k jkham k dawa dukan me nahi milateKassh khuda hume itana dard nahi deta dostToh hum bhi mehfil me tumse hass-hass k milate..————————Ye raaz kon jane kis ka qasoor thatoota wahi sahara jis pe garoor thausay hai guroor k woh kisi aur ka haihamein hai naaz k woh kabhi hamara zaroor tha...

ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain.gham ki andhiyaan bhi chalne lagi hain.tu to naraaj hoke na jaane kahaan chala gaya .intjaar mein khawahishein meri marne lagi hain.pyaasa hai dil aaj bhi tu samjhta kyun nahi.ke aaja abto ye baahein thakne lagi hain.dekhe tujhe abto ek arsa beet gaya..is nigaahon ki aarju or badhne lagi hain.kar chuka hai qatal mujhe to tu kabka.mere saath kitni maiyatein jalne lagi hain.pata hai tujhe hai gumaan apne pyaar par.abto tere bin meri raatein katne lagi hain..ho chuki inteha ab to laut aa jaalim..ke aaja abto meri saanse thamne lagi hain...

Tum apne mahal ki fikar karnaGaribo ka jhappar jalane se pahleAajmana apne pyar ko kasauti parKisi diwane se dil lagane se pahleYakin mano hath kanp (kampan) uthenge tumharePyar bhare dil ko jalane se pahleChhalkenge aansu aankhon main hajar barMohababat main rang lane se pahleChamak uthegi aasma main bhi bijliyaBin badal barsat aane ke pahleToot jate hain khwab mohababat main aksarSuna hai khwab sajnae se pahleYah mashum chehre bhi dete hain dhokhaNa samjhega koi chot khane se pahle‘Avinash’ ki bhi uthegi maiyat (janaja) yaronBewafa ki doli sajan ke ghar jane se pahle..

Bewafa se WafaaUske khathonko phaad diyaThasweeronko bhi jala diyaJobhi nishaaniyaan hai unko khatham kardiyaLekinnnnnnn…..Hamari har saans me, meri har nas me jo samaa gayaHamare khayaalon me jo chaagayaHamein jo apna diwaana banaagayaSaare dunian se bekhabar banaagayaKehtha tha hum uski zindagi hain, merehi zindagiko mujhse cheengayaKaisa a sitham kargayaJeethe ji mujhe maargayaAye sanam, yeh thoone kya kardiya?! kyaaaaa kardiya?!*******Jaathe jaathe humpe ek ehsaantho karjaatheThoda zeher apne haathonse dejaatheAakhri deedaartho karletheHamare janaaze ko khaandatho dejaathe!

Apni Tanhai Mere Naam Pe Abaad KareKaun Hoga Jo Mujhe Usski Tarah Yaad KareDil Ajab Shehr Ke Jiss Per Bhi Khula Dar Iss KaWoh Musafir Issay Her Simt Se Barbad KareApne Qatil Ki Zehanat Se Pareshan Hon MeinRoz Eik Maut Naye Tarz Se Ejaad KareSalb-E-Benaai Ke Ehkaam Mile Hein Jo KabhiRoshni Choone Ki Khwahish Koi Shab-Zaad KareSoch Rakhna Bhi Jaraaim Mein Hai Shamil Abb TouWahi Ma’soom Hai Her Baat Pe Jo Saad KareJub Lahoo Bol Pare Iss Ke Gawahon Ke KhilaafKaazi-E-Shehr Kuch Iss Baab Mein Irshaad KareUss Ki Muthi Mein Bohot Roz Raha Mera WajoodMere Saahir Se Kaho Abb Mujhe Azaad Kare