Jab dil tut ta hai toh aawaz nahi aati,
Muhabbat har kis ko raas nahi aati,
Ye to apni apni baat hai yaaro koi kisiko bhula nahi pata,
Aur kisi kisi ko yaad nahi aata…

Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai…

Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or tehhra hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai…

Munh Kee Baat Sune Har Koi Dil Ke Dard Ko Jaane Kaun; Aawazon Ke Bazaron Mein Khamoshi Pehchane Kaun; Sadiyon Sadiyon Wahi Tamasha Raasta Raasta Lambi Khoj; Lekin Jab Hum Mil Jaate Hain Kho Jaata Hai Jaane Kaun

Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai…

Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha
`

Wo Jo Roothe Humse Aise, Khuda Hi Humse Rooth GayaHar Sapna Jo Dekha Tha Maine, Ek Pal Mei Wo Toot GayaJism Mei Sirf Chand Saanse Bachi Hain Ab Kuch Jeene KoYaadon Ke Jharokon Mei Mera Chand Kahin Hai Chup Gaya.

Gehri thi raat, lakin hum khoye nahi,
Dard bahoot tha dil mein, lakin hum roye nahi,
Koi nahi hamara jo puche humse,
Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye hi nahi..!!

Har nakamiyabi ka matlab haar nahi hota,
Har nah ka matlab innkar nahi hota,
Aree kya hua hum usse pa na sake yaaro,
Sirf pane ka matlab pyar nahi hota………

Mohabbat ka ajeeb karobaar hum ne kiya,
Woh be wafa sehi magar pyaar hum ne kiya,
agar woh chor gya to mat keho bura us ko,
Qasoor uska nhe “Aitebaar” hum ne kiya !

Bachpan Key Din Bhi Kitny Achhe Hotey They
Tab Dil Nahi Bas Khiloney Tuta Krte They
Ab Ek Aansoo Girey Toh Saha Nhi Jaata,
Bachpan Mein Toh Dil Bhur Key Royaa Krte They…

Aansuon Ke Sahare Unke Gam Ko Bhula Dete HainWo Nazar Aate Hain Jab Kabhi To Khud Ko Chupa Lete HainDard-E-Dil Ki Halat Ko Kin Alfazon Mei Byaan Kare HumAaeene Mein Khud Ko Dekete Hain To Nazrein Jhuka Lete Hain.

Pal-Pal Ki Chahat Ne Mujhe Pal-Pal Tadpaya; Har Pal Ki Tarah Es Pal Bhi Khud Ko Tanha Paya; Bhula Bhi Dete Ush Pal Ko Ager Us Pal Uska Khayal Na Aaya Hota; Kambkhat Har Pal Ki Taraha Aaj Ye Pal Bhi Mera Na Ho Paya

Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai…

Hotho Pe Hansi Aankho Me Nami Jine Ki Aadat Ho Hi GayiMere Liye Tum Hi Sab Kuch Par Tere Liye Ham Kuchh Bhi NahiChehra Tera Dhundhala Dhundhla Khoi Khoi Si TasveereTum Khwabo Me Kaise Aaoge Jab Aankho Me Neend Nahi