Dard Hua Hai Humein Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage
Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage
Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke
Her dil mein thoda sa to dard jage

Jaam Jo Bhara Sharab SeTeri Tasveer Nazar Aayi
Todi Jo Bottol, Tukdon Mai Tasveer Nazar Aayi
Jab Jodne Lage Hum Un Tukdo Ko Nashe Main Mere
Khooon Se Bahri, Teri Maang Mujhe Nazar Aayi

Is Dil ko Pyaar mein dhadakne ki Sazaa to milni hi thi,Ishq ki Bahaaron ko ek na ek din yeh Khizaa to milni hi thi,Yeh to humne haske Zindagi ko gale laga liya thaaWarna dhundhne par Marne ki ek Wajah to milni hi thi..

Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain; Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain; Phir Us Ke Pyaar Kee Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain; Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain

Dil ne tere pyar per majbur mujh ko kardiya
Is jahaan ki har khushi se dur mujh ko kardiya
Jis qadar chaha tha dil ne pass tere aane ko
Is qadar dunya ne tujh ko mujh se dur kardiya.

Jagmagaate Shehar Ki Raaniyon Mein Kya Na Tha; Dhoondne Nikla Jisko Bus Wohi Chehra Na Thaa; Hum Wahi Tum Bhi Wahi Mausam Wahi Manzar Wahi; Faansle Badh Jaaege Itne Kabhi Socha Na Tha Translation: Raaniyon = Livelyness

Teri ankhon ke nashe mai doob jau..
Teri julfooo ki chao mai khud ko bhul jau..
Teri hoothon ki hasi ko pee loo sanaam…
Aa kareeb mere teri bhaahon mai khud ko bhul jau…

Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga.

Hamari wafaoun ki laash abhi uthi hai..**
Ashk hain behta paani be lau Ankhein hain..
Bezubaan dard hai chubhta dheemi in dhadkano me..
Chahat hai betaab hamari..din raat maddham hain..

Najron Se Najar Mili Aur Unse Pyar Ho Gaya
Bahut Roka Apne Dil Ko Magar Yeh Bekarar Ho Gaya
Jab Se Kiya Pyar Tujhse Dil Ka Chain Hai Kho Gaya
Ho Ke Juda Main Ji Na Saka Jeena Bhi Bhool Gaya

Jo aansu dil me girte h wo ankho me nahi rehte
Bahut se harf aise hain jo lafzo mein nahi rehte
Kitabo mein likhe jate hai dunya bhar ke afsane
Magar jin mein hakikat ho kitabo me nahi rehte

Dhoondta tha ke kon mera saath nibhayega saaye ki tarah,Sochta hu ke kon mere jajbaton ko samjhega yaha,Par Jab Khayal aaya unka jinhone hame kabhi akela nhi choda,Toa laga in tanhayion se aacha saathi mujhe milega kaha !!!

Whenever you are not feeling well without any reason
spend time with someone special in ur life
bcoz sometimes you don t need medicines
you just need d best times of life
Er kasz

Ab To Dard Se Bhi Mohabbat HaiDard Mein Tu Yaad Aati HaiKhyalon Mein Hi Sahi,Tu Mera Marham Ban Jati Hai.Koi Ho Na Ho Saath Mere,Tu To Saath Nibhati Hai.“Dhanwant” Jeeta Hai Tere Liye,Tu Jeene Ki Chah Jagati Hai.

Chup kar kahi kisi or se dosti nahi ki,
mene kiya tha pyar .. pyar ka karja chuka diya,
logo ne poochha jab udasi ka sabab……
to kore kagaj par toota hua dil bana diya…