Kaanto ke Badle Phool Kya doge..?Aaanshu ke Badle Khushi kya dooge..?Hum chahte hain aapde umar bhar Dosti..Hamare iss Sawal la Jawab kya Doge.?

Aankhon me rehne walon ko yaad nahi karte,Dil me rehne walon ki baat nahi karte.Humari to rooh me bas gaye hain woh,Tabhi to hum milne ki fariyad nahin karte..

Jhooti hansi hansne ki aadat ho gayi haizindagi teri yaadon ki ibaadat ho gayi haibas saans chal rahi hai is murde mein abrooh to tere saath hi rukhsat ho gayi hai.

Tarasta hai dil teri awaaz ke liye ,Tarasta hai dil teri muhabbat bhare do alfaaz ke liye,Kar do hame fanah aapni is ada ke liye,Tadapte hain hum teri ik mulakat ke liye.

Sochta hoon tumse bichadkar,kya reh paoonga,Hazar khushiyan paas sahi,phir bhi bikhar jaaonga,Kitna dushwar hua karta hai yaadon ka safar,Main to samjha tha ki chupchap gujar jaaonga.

Aaj mera muskurane ka mann nahin thaKisi se itni mohabbat kar baitha iss ka koi gham nahin thaTere ishq mein khud ko kuch iss qadar bhula diya hum neKi teri bewafaai ka dard bhi kuch kam nahin tha...

jo socha na tha wo bhi ho raha hai,jo paya na tha wo bhi kho raha hai.pyaar na jane mera kaha kho gaya hai,duniya ki bheed main wo bhi door ho gaya hai.kyu ho raha hai mwere saath hi aisa,lagta hai sab kuch ek khel ke jaisa.aaj k baad ye bhool kabhi na hogi,dil toota to usme awaaz nahi hogi

Mujhe Kisi Se Koi Gila Hi NahiWoh Mera Tha Hi NahiJo Mujhe Mila Hi nahiDarte The Kaise Jeeyenge Uss Se Bichad KePar Ab Toh Yaadoun Ka Silsila Bhi NahiMujhe Tujh Se Koi Shikayat NahiJo Samajh Sake Mujh Ko Woh Tu NahiShayed Aisa Kabhi Koi Mila Hi NahiPhir Bhi Iss Zamane SeAkele Ladne Ka Hounsla Baqi Hai mujh MeTumhare Baad Kitne Toofan AayeMein Kabhi Hili Hi Nahi ..

Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahiLakh koshish ki magar faasla mita hi nahiUsko zamane ne majboor is qadar kar diyaKe meri kisi sada pe wo ruka hi nahiKhuda se jholi phaila ke maanga tha usayKhuda ne meri kisi dua ko suna hi nahiHar aik se poocha sabab uske na milne kaHar aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahiMain tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gayaAur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahiItni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gayaShayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nahi..

Rafta Rafta Me Tumhe Achcha Lagoonga,Ajnabi Hu Aaj, Kal Apna Lagoonga,Ret Jitni Pyas Lekar Jab Chuoge,Main Hu To Sahil Par Tumhe Dariya Lagoonga.Saltanat Ehsaas Ki Tumko Mili To,Main Tumhe Jageer Ka Hissa Lagoonga,Band Karke Aankh Jab Dekhoge Mujhko,Kal Subah Dekha Hua Sapna Lagoonga.Gar Mujhko Mehsoos Dil Se Kar Sakoge,Pyar Ka Behta Hua Jharna Lagoonga,Mere Hoton Ki Ajab Taseer Hai Ye,Main Hu To Samandar Par Tumhe Pyasa Lagoonga.Mujhko Khokar Zindagi Me Jab Miloge,Kya Pata Uss Samay Main Kaisa Lagoonga,Rafta Rafta Main Tumhe Achcha Lagoonga,Ajnabi Hu Aaj Kal Apna Lagoonga.

Uss Key Bin Chup Chup Rehna Ab Acha Lagta HaiKhamooshi Say Ek Dard Ko Sehna Acha Lagta HaiJis Hasti Ki Yaad May Aansoo Barastey HainSamaney Us Key Kuch Na Kehna Acha Lagta HaiMil Kar Us Say Bhichar Na Jaoon Darta Rehta HoonIs Liye Bas Dour Hi Rehna Acha Lagta HaiJee Chahey Sari Khushyaan Lay Kar Us Ko DeydoonUs Key Pyaar May Sab Kuch Khoona Acha Lagta HaiUs Ka Milna Na Milna Qismat Ki Baat HaiPal Pal Us Ki Yaad Roona Acha Lagta HaiUs Key Bina Sari Khushyaan Aajab lagti HainRoo Roo Kar Us Ki Yaad May Soona Acha Lagta HaiHam Say Muhabbatoon Ki Numayaish Na Hoo SakiBas Etna Jantey Hain Key Tumhain Chahna acha lagta hai.

Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamKasam Chahye Ley Lo Khuda Ki KasamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamHumari Gazal Hai , Tasavor TumharaHumari Gazal Hai , Tasavor TumharaTumhare Bina Abb, Na Jina GanwaraTumhain Yoon Ki Chahyein Ge Jab Tak Hai DumBahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamSaagar Ki Bahoon Mein Maujhein Hain JitniSaagar Ki Bahoon Mein Maujhein Hain JitniHum Ko Bhi Tumse Mohabbat Hai Utni Ke Yeh BekarariKe Yeh Bekarari Na Abb Ho Gi KamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam Kasam Chahye Ley LoKasam Chahye Ley Lo Khuda Ki KasamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko SanamBahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta HaiMagar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta HaiMein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi HaiYe Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta HaiK Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani HaiKabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani HaiYahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu HaiJo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani HaiSamander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi SaktaYe Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi SaktaMeri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun LeJo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi SaktaBharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To HungamaHamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To HungamaAabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat KaMein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

Aisa nahi ki aap ki yaad aati nahi,Khata sirf itni ki hum batate nahi,DOSTI aap ki anmol hai hamare liye,Samjte ho aap isliye jatate nahi.——————————–Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota !!!——————————–Dekhi jo surat aapkiYe dil bechara machal gayaRakhna hifajat se apni adaa koAdaa pe aapki ye dil ghayal ho gaya——————————–Ek pyari si kali thi jo phool ban gayiEk nanhi si muskan thi jo hasi ban gayiYe choti choti si mulakat ab toh pyar ban gayiAur aapka har pal saath toh jaise bahar ban gayi——————————–Hichkiyon se ek baat ka pata chalta haiKi koi hume yaad toh karta haiBaat na kare toh koi gham nahiPar Koi aaj bhi hum par apneKuch Lamhe barbad toh karta hai——————————–Nazrein mili toh laga jaise sapnaPass dikhi toh laga koi apnaDil ko aapse bas yehi hai kehnaKi aapka pyar toh hai dil ka gehna——————————–Tammana-e-ishq to hum bhi rakte hain,Kisi ke dil me hum bhi dhadakte hain,Na jane woh kab milengejin ke liye hum roz tadapte hain.——————————–Palkon me qaid kuchh sapne hai,Kuchh begane kuchh apne hai,Na jane kya KASHISH he in khayalon maiwoh gair hoke bhi kitne apne hai.

Dil ka zakhm jubaan par laya nahi karate,Ham apani aakhon se aansu bahaya nahi karate,Zakhm kitane hi gahare kyon na ho,Ham apane hotho se muskuraahat hataya nahi karate.Ye sach hai dosto kisi se pyaar na karana,Kabhi kisi ka is jamaane me aitbaar na karana.Thaam ke khanjar apane hi haatho me,Bedardi se apne dil par vaar na karana.Najre na hoti. najaare na hote. chand ke daaman meYu sitaare nahi hote. ham isliye karate hai aapkiParvaah kyonki, dil ke kareeb saare nahi hote.Kismat pe aitbaar kisko hai.Mil jaaye khushi to inkaar kisko hai.Kuch majburiya hai hamaare saamne bhi.Varna aapki judaai se pyaar kisko hai.Tujhse milne ki justaju bhi hai,Dil me tu roobaroo bhi hai,Hamne socha ki, dil ko jala daale,Phir khyaal aaya ki dil me bhi tu hi hai.Shama jalati hai parvaane chale aate hai,Sar ke bal ishq ke deewane chale aate hai,Ab to aa jaao meri jaan ki janaza uthane ko hai,Log to gairo ko bhi dafnaane chale aate hai.Zindagi bhar tera intazaar karna hai,Ab aayega ye soch ke jeena hai,Jaanate hai tu kabhi na aayega,Lekin dil ki baat maankar chalna hai.Soorat se aisa lagta na tha,Ki khafa pal bhar me ho jaaoge,Pal bhar ke kiye apna na samajha,Zindagi bhar pyaar kya nibhaaoge.Unaki mohabbat ka abhi nishaan baaki hai,Naam hotho pe, jaan baaki hai,Kya hua agar dekh ke nazar fer lete hai,Tasalli hai ki abhi shakal ki pahchaan baaki hai.Hamaari har khata pe naaraj na hona,Apni pyaari-si muskuraahat ko kabhi na khona,Sukoon milta hai dekhke aapki muskuraahat,Hame maut aaye to bhi mat rona.Aapki zindagi me kabhi koi gam na ho,Aapki aakhen kabhi aansu se nam na ho,Aapko mile zindagi me har khushi,Bhale hi us khushi me ham ho na hoM.Ab kya kahu tumse,Agar kuch kahana hai to,Sirf itna ki maine pyaar kiya,Ab nahi raha jaata, kah do na pyaar hai.Raat ko raat ka tohfaa nahi dete,Dil ko jazbaat ka tohfaa nahi dete,Ham aapko chand bhi de dete lekin,Chand ko chand ka tohfaa nahi dete.Javani ko zindagi ka nikhaar kahate hai,Patjhad ko chaman ka majhandhar kahate hai.Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,Ek dhokha hai jise sab pyaar kahate hai.Pyaar ki raaho ka hota hai kathin safar,Dil ki duaa me hota hai bahut asar.Yadi chalna hai to dil se chal,Kyonki dimaag kar deta hai use beasar.Paane se khone ka mazaa aur hai,Band aakhon se dekhane ka mazaa aur hai,Aansu bane lafz aur lafz bane gazal,Teri yaado ke saath jeene ka mazaa kuch aur hai.Aur abhi cheeje bahut-si lut chuki hai Dil ke saath,Ye bataya dosto ne ishq farmaane ke baad,Ab kamare ki ek-ek-cheej check karta hu mai,Ek tere aane se pahle, ek tere jaane ke baad.Aakhon ke saamne hardam aapko paaya hai,Dil me bhi aapko hi basaya hai,Aapke bin ham jiyenge kaise,Bhala jaan bina bhi koi jee paaya hai.Aankh to pyaar me dil kee jubaan hoti hai,Sachi chahat to sada bejubaan hoti hai,Pyaar me dard bhi mile to kya ghabrana,Suna hai dard se chaahat javaan hoti hai.Aapke baare me ham kya kahe,Jo bhi kahe vo kam hoga,Par aisa vaisa kuch kah diya,To uska bhi hame gam hoga.Pal bhar me tut jaaye vo kasam nahi,Aapko bhool jaaye vo ham nahi,Tum hame bhool jaao is baat me dam nahi,Kyonki tum hame bhool jaao itane bure ham nahi.Roothkar tum mujhe bhulaane lage,Itane door huye ki bahut yaad aane lage,Kaise bhulaau tumhe ek pal me,Jab tumhe paane me mujhe jamaane lage.Anjaane me dil ganva baithe, is pyaar me,Kaise dhokha kha baithe. unase kya gila kare,Bhool hamaari thi, jo bina dil vaalo se,Dil laga baithe.Bheegi palako ke sang muskuraate the ham,Pal-pal dil ko bahlaate the ham.Vo door the hamse to kya hua,Unhe yaad rakhne ke liye hi to bhulate the ham.Dete ho kyon ye dard bas ham hi ko?Kya samajhoge tum in aakhon ki nami ko.?Yu to honge laakho deewaane is chand ke,Chand kyo mahsoos karega ek taare ki kami ko.Dhundh lo koi tumhe mil hi jaayega,Magar hamaari tarah pyaar tumhe kaun kar payega,Mumkin hai chaahat ki nazar se koi dekh le tumhe,Par aakhen hamaari kahaa se paayega.Na kabhi ye Chupana ki pyaar kitna hai,Na kabhi yi jataya ki dard kitna hai,Bas ek hame aur us khuda ko maaloom hai,Ki aapse mulakat ka intazaar kitna hai.Aapke khyaalo se fursat nahi milati,Hame ek pal ki raahat nahi milati,Mil to jaati hai saans kuch,Bas aapki ek jhalak nahi milati.Sabko dost banaane ki aadat hai hame,Apni alag pahchaan banaane ki aadat hai hame,Kitna bhi gahara jakhm de koi,Utna hi jyada muskarane ki aadat hai hame.Dil cheer ke dekh lo mera, tasveer usi ki hogi,Kabhi hile agar is dil ka darvaja,To aahat uski hi hogi.Dosti nazaro se ho to use kudarat kahate hai,Sitaro se ho to use zannat kahate hai,Husna se ho to use mohabbat kahate hai,Aur dosti aapse ho to use kismat kahate hai.Aasmaan ne baadal se kaha,Sooraj ne kirano se kaha,Havaao ne patto se kaha,Aur maine tumse kaha. chal chal hava aane de.Tere aane kaa khyaal acha hai,Ummeed ka ye jaal acha hai,Unse pucha kya hua aane ka,Muskura ke vo bole savaal acha hai.Teri dosti me ek nasha hai,Tabhi to ye duniya ham se khafa hai,Na karo hamse itani dosti,Ki dil hi hamse puche teri dhadkan kaha hai.Kalam uthai lafz nahi mila,Jisko dhund rahe hai vo shakhs naho mila,Firte hai vo jamaane ki talaash me,Bas hamaare liye unhe vakt nahi milata.Kal hamaare aangan me chaand utra,Sitaro ko ganvara na tha,Ham to sitaaro se bhi bagavat kar lete,Par kya kare chand hi hamara na tha.Ishq-mohabbat to hazaaro karate hai,Gam-e-judaai se vo sabhi darate hai,Ham na ishq karate hai, na mohabbat karate hai,Bas aap jaise dosto pe marate hai.Dharaye bahti hai to bhanvaar uthate hai,Jahaa tumhe mushkil hoti hai vaha ham hote hai.Geet ki jaroorat mahfil me hoti hai,Pyaar ki jaroorat dil me hoti hai,Bin dost ke adhoori hai ye zindagi,Kyonki dost ki jaroorat har pal mahsoos hoti hai.Mushkil dil ke iraade aajmaayengi,Khwaabon ke parde nigaaho se hatayegi,Girkar tu hausla mat khona dost,Ye Thokare hi tujhe chalna sikhaayegi.Dard me koi mausam pyara nahi hota,Dil ho pyasa to paani se gujaara nahi hota,Dekhe jara koi bebasi hamaari,Ham uske ho jaate hai jo hamaara nahi hota.Ummeedo ki shamaa me mat jalana,Is jahaa se alag duniya mat basana,Aaj mood me tha to yaad kar diya,Par roz intazaar me palake mat bichana.Jab kabhi aapko koi gam sataaye,Koi baat dil ko na bhaaye,Aakhen saagar Chalkaaye, yaad karke dekhna hame,Kya pata ek aansu kam ho jaaye.Duniya ka har shaukh pala nahi jata,Kaanch ke khilono ko yu uchala nahi jata,Mehnat karne se mushkil ho jaati hai aasaan,Har kaam takdeer par tala nahi jata.Dosti ka paigaam jo aapka mila,Dil ho gaya khush mit gaye saare gila,Kisi dost ko nahi mila hoga,Dosti ka aisa sila, ki saare gam hoyenge door mere,Jab dosto ke pyaar ka nazraana mila.Yaad tumhaari na aaye aisa ham hone nahi denge,Dost tumhaare jaisa ham khone nahi denge,Ek-do SMS karate rahana,Varna saari raat tumhe ham sone nahi denge.Khuda ki banaai kudrat nahi dekhi,Dilo me Chupi daulat nahi dekhi,Jo kahate hai ki dooriyo se mit jaati hai dosti,Usane shaayad hamaari dosti nahi dekhi.Aapki ek muskurahat ne hamaare hosh udaa diye.Aapki ek muskurahat ne hamaare hosh udaa diye.Ham hosh me aane hi vaale the.Ki aap phir se muskara diye.Khud pe bharosa hai, to khuda tere saath hai,Apno pe bharosa hai, to har dua saath hai.Zindagee se kabhi mat ladnaa ai dost!Jab tak ye dost tere saath hai.Koi ho baat na dil se lagaana,Agar apna samjho to hi batana,Bhool ho hamse, to samajhana,Samjho jo to dil se jatana,Ki hai dosti to dil se nibhana.