Aaj Hi Ke Din Hamney Azadi Ko Paya ThaBahar Khadera Angrejo Ko, Purn Sawrajaya Aaya ThaAaj Ke Din Ne Veero Ki Ghatha Ko Gaya HaiFizaao Ne Madhoor Rang Mehkaya HaiAaj Swatantra Diwas Aaya Hai

pyaar hai ya saza ae mere dil batatootata kyun nahi dard ka silsilais pyaar mein ho kaise kaise imtihaanye pyaar likhe kaisi kaisi daastanya rabba de de koi jaan bhi agardilbar pe ho na koi asar.

Ghulami Main Na Kaam Aati Hain Shamsheerain, Na TadbeerainJo Ho Shok-E-Yaqeen Paida Tou Cut Jaati Hain ZanjeerainKoi Andaza Ker Sakta Hai Iss Kay Zor-E-Bazu Ka?Nigha-E-Mard-E-Momin Say Badal Jati Hain Taqdeerain

Niklaa Hai Ek Aansu Nigahon Se Aaj Phir,Kar Di Hai Har Ik Had Gamon Ne Paar Aaj Phir.Choti Si Baat Kar Nahi Paati Nigahen Nam,Yun Hi Nahi, Hai Baat Hui Khas Aaj Phir.Aansu Ka Nigahon Se Koi Tod De Rishta,Koi Aankhon Main Woh Hi Hansi Le Aaye Aaj Fi

Kahin Safar Hain Kahin Raasta Hain Manzil KaaYe Raat Din Kee Ghutan Kyun Azaab Hain Dil KaaRawan Hain Kashti Magar Har Taraf Andhera HainKisi Kaa Dosh Nahi Ye Kusoor Mera HainBujha Hai Mere Hii HaathonChirag Saahil KaaKahin Safar Hain Kahin Raasta Hain Manzil KaaYe Raat Din Kii Ghutan Kyun Azaab Hai Dil Kaa

Chehre badal gaye, Jab matlab nikal gaya.Jo kal tak tha dost, Dushman nikal gaya,Aakhir kab tak rukte parinde mere chat par,Wo bhi apne ghar ko laut chale, Jab Suraj dhal gaya,Unhe rokne ki koshish me jab diya “Dosti” ka washta,Jawab tha unka..“ZAMANE KE SATH DOSTI KA HUNAR BADAL GAYA.”

Pathar Tha Magar Baraf Ke Galon Ki Tarah ThaIk Shakhs Andheron Mein Ujalon Ki Tarah ThaKhawabon Ki Tarah Tha Na Khiyalon Ki Tarah ThaWoh Ilm_E_Riyazi Kay Sawalon Ki Tarah ThaUljha Hua Aisa Keh Kabhee Sulajh Nahi PayaSuljha Hua Aisa Keh Misalon Ki Tarah ThaWoh Mil To Gaya Tha Magar Apna Hee MukaddarShatranj Ki Uljhi Hui Chalon Ki Tarah Tha

Dastur ibadat ka duniya se nirala hoik hath mein mala ho ik hath mein pyala hopujenge saliqe se andaz magar apanaho yad-e-khuda dil mein saqi ne sambhala homasti bhi taqaddus bhi ek sath chale dononik simt ho maikhana ik simt shivala homasjid ki taraf se tu jana na kabhi saqizahid bhi kabhi tera na chahanevala howo dub ki mar jayen madira ki surahi meinmashuq ne gar dil ki mahafil se nikala ho

Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aayameri duniya mein bande ke khuda hone ka waqt aayaunhen dekha to zahid ne kaha iman ke ye haiki ab insan ko sajada-rava hone ka waqt aayatakallum ke khamoshi kah rahi hai harf-e-matalab seki ashk-amez nazron se ada hone ka waqt aayakhuda jane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmatkhuda se kah raha hun nakhuda hone ka waqt aayahamen bhi aa pada hai doston se kam kuch yanihamare doston ke bevafa hone ka waqt aaya

Doosron K Khayalon Mein Seindh Laga Lete Hain Log,Daaon-Peinch K Dum Pe Khud Ko Azmad Bana Lete Hain Log,Tune Munh Kaya Phera Sabhi Sapne Hue Kaafoor,Saanjh Dhale Jaise Chhat Se Kapde Utaar Lete Hain Log,Yaadon Mein Uljhe Aksh Na Ghat-Te Hain Na Badhte Hain,Anjaan Bastiyon Me Bhi Dil Laga Lete Hain Log,Wo Aankhe Chahte Hue Bhi Kuchh Na Keh Saki,Rivazon Ki Duniya Me Mushkil Me Phasa Dete Hai Log,Sach To Sach Hai Jitna Hai Utna Hi Rahega,Jhoot K Daayere Ko Badha-Ghata Lete Hain Log..

Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat HaiTujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath HaiKis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne TumseSoch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat HaiKaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro AyaMachal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat HaiTu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane KyoGar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat HaiTadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni KIs Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat HaiYu Aye Zindagi Mujhe Akela Chordh Diya TuneKe Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai

Wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahehum un ka intakhab-e-nazar dekhte rahedaman bachake ashkon se wo to nikal gayehum der tak zamin par guhar dekhte rahehum beniyaz baithe huye un ke bazm meinauron ke bandagi ka asar dekhte raheaayi sahar to aur bada bijaliyon ka zorshab bhar hum intezar-e-sahar dekhte rahesholon ke zad par sabhi the, kis ko pukaratehar simt khirmanon mein sharar dekhte rahekyonkar sanbhalate hamen wo nakhuda jo khudsahil ke aafiyat se bhanvar dekhte rahemanzil ke dhun mein aabalapa chal khade huyeaur shah-savar gard-e-safar dekhte rahe

Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujheguzar gai jaras-e-gul udas kar ke mujhemain so raha tha kisi yaad ke shabistan meinjaga ke chod gaye qafile sahar ke mujhemain ro raha tha muqaddar ke sakht rahon meinuda ke le gaya jadu teri nazar ka mujhemain teri dard ke tugiyaniyon mein dub gayapukarate rahe tare ubhar ubhar ke mujhetere firaq ke raten kabhi na bhulengimaze mile inhin raton mein umr bhar ke mujhezara si der thaharne de ae gam-e-duniyabula raha hai koi bam se utar ke mujhephir aj aayi thi ik mauj-e-hava-e-tarabsuna gai hai fasane idhar-udhar ke mujhe

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya GayaJin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya GayaJin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya GayaUs Hussain Ibne Haider Pe Lakhon SalamKaun Shabbir Woh Jin Ka Nana NabiJin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba AliUs Hussain Ibne Haider Pe Lakhon SalamKarliya Jis Ne Naush Shahadat Ka JamUs Hussain Ibne Haider Lakhon SalamJin Ka Jhula Farishtey Jhulate RaheLohrian De Ke Noori Sulaate RaheUs Hussain Ibn E Haider Pe LakhonJis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar DiaJis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar DiyaApne Ghar Ko Suparde Khuda Kar DiyaJis Ne Neze Par Bhi Quran Par DiyaUs Hussain Ibne Haider Pe Lakhon SalamYa Elahi Sadqa E Ahle RasoolYeh Salaam E Ajizana Ho Kubool

Kisi Charsi Bewaday Ki Baatli Ho TumKya Bemaar Ho Bahut Patli Ho TumBarson Pehle Howa Koi Kasoor Ho TumPed Pe Latka Howa Koi Khajur Ho TumBin Baadal Ke Jaise Barkha Ho TumKhadi Banti Hai Jisse Wo Charkha Ho TumKitni Tareef Karoun Ke Kya Ho TumEek Hi Kaafi Hai Wo Jhatka Ho TumBewkoof Ho Bilkul Anaadi Ho TumBina Ghoday Ki Gaadi Ho TumPoori Ammavas Ki Shaam Ho TumBilkul Choosa Howa Aam Ho TumGalat Disha Mein Nikli Bijli Ho TumKabhi Na Mitne Waali Khujli Ho TumJise Koi Nahi Dekhta Wo Cinemaa Ho TumBina Naadey Ke Phisalta Paijama Ho TumSara Din Padosioon Ko Sataati Ho TumGadhon Ki Kya Kami Hai Jo Gaati Ho TumAdh Maray Ko Maarti Pura Ho TumJo Kabhi Na Baje Wo Tambura Ho Tum