Tumhary Sath Chalty Hain Hazaron Chahny Waly
Mery Hony Na Hony Se Tumhein Kya Farq Parrta Hai

usne dekha hi nhi kbi apni hatheli ko ghor se,
usme dhundli si ek lakeer mere naam ki bhi h..!

Chilman Main Aag Lagi,hai koi mujhe paani dede,Gulista jhulaz raha hai,koi mujhe do pal ki rawani dede…

Yeh Chandni Bhi Ab Sooni Sooni HaiMaut Ki Chahat Ab Tak Adhoori HaiYeh Kaisi Tujhse Meri Doori HaiJeena To Bas Ab Ek Majboori Hai

koi fark nhi padta koi aina jo tutey gila nhi wo rab bhi roothey rah jata hai jinda laas ban yadi kisi asique ka masoom dil jo tutey

Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat HogiWarna Humko Kahan Tum Se Shikayat HogiYeh To Bewafa Logo Ki Duniya HaiTum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi.

Jab Yaad Tumhari Aati Hai,
Dil Khun Ke Aansu Rota Hai,
Yeh Dard Denewala Kya Jane,
Dil Ka Dard Kaisa Hota Hai.

Jis Din Se Juda Woh Humse Hue,
Is Dil Ne Dhadkna Chhor Dia,
Hai Chand Ka Munh Bhi Utra Utra,
Taaron Ne Chamakna Chhor Dia.

aasaan nahi hota kisi ko bhulana.
chhe vo apna ho ya begana dil ki baatain bas samajhta hai dil hi,
inhe kya samjhega ye zalim zamana??

Maut aur neend mein sirf itna fark hain ki,
Jab hum sote hai toh jamane ka khawab dekte hain
Jab hum marte h to jamana humara khawab dekta hai

jawani ke din chamkile ho gaye
aur husn ke tewar nukile ho gaye
hum izhaar karne me thode dhiile ho gaye
aur unke haath peele ho gaye

Meri Tanhai ka mujhe gila nahi,
kya hua jab koi mujhe mila nahi.
phir bhi dua karenge aapke vaaste,
aap ko wo sab mile, jo mujhe mila nahi…

Jis din tum se dil laga baithe,
tanhai me gamo ki mehfil laga baithe,
tum to kho gaye is duniya ki bheed me,
or hum apni hi duniya me aag laga baithe.

Majburiyan hamari woh jaan na sake,
Farmaano ko hamare woh maan na sake,
Kehte hai woh hume mar kar bhi chahenge,
Jeete ji hume jo pehchan na sake..."

Aa dard mujhe tera hi sahara hai,
Zakhmo ke siwa ab kaun hamara hai,
Log to darte hain maut ke aajane se ,
Humein to zindgi ne hi badi bedardi se mara hai.