Bahut mila na mila zindagi se gam kya haimata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya haihum ek umr se vaqif hain ab na samajhaoke lutf kya hai mere meharaban sitam kya haikare na jag mai alav to sher kis maqasadkare na shahar mai jal-thal to chashm-e-nam kya haiajal ke hath koi aa raha hai paravanana jane aj ke feharist mai raqam kya haisajao bazm gazal gao jam taza karobahut sahi gam-e-geti sharab kam kya hailihaz mai koi kuch dur sath chalata haivagarna dahar mai ab khizr ka bharam kya hai.

Tarz jine ka sikhati hai mujhetashnagi zeher pilati hai mujheraat bhar rahati hai kis baat ke dhunna jagti hai na sulati hai mujheruthata hun jo kabhi duniya sezindagi aake manati hai mujheaaina dekhun to kyunkar dekhunyaad ik shakhs ke aati hai mujheband karta hun jo aankhen kya kyaroshani si nazar aati hai mujhekoi mil jaye to rasta kat jayeapni parachai darati hai mujheab to ye bhool gaya kis ke talabdes parades phirati hai mujhekaise ho khatm kahani gham keab to kuch neend si aati hai mujhe

Hijr ke shab nala-e-dil wo sada dene lagesunane wale raat katane ke dua dene lagekis nazar se aap ne dekha dil-e-majaruh kozakhm jo kuch bhar chale the phir hawa dene lagejuz zamin-e-ku-e-janan kuch nahi pesh-e-nigahjis ka daravaza nazar aaya sada dene lagabagban ne aag di jab ashiyane ko merejin pe takiya tha wohi patte hawa dene lagemutthiyon mein khak lekar dost aaye vaqt-e-dafnzindagi bhar ke muhabbat ka sila dene lageaaina ho jaye mera ishq un ke husn kakya maza ho dard agar khud hi dawa dene lage

Har ek ruh mein ek gham chupa lage hai mujheye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhejo aansu mein kabhi raat bhig jati haibahut qarib wo aavaz-e-pa lage hai mujhemain so bhi jaun to meri band aankhon meintamam raat koi jhankata lage hai mujhemain jab bhi us ke khayalon mein kho sa jata hunwo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhemain sochata tha ki lautunga ajanabi ke tarahye mera gaon to pahachana sa lage hai mujhebikhar gaya hai kuch is tarah aadmi ka vajudhar ek fard koi saneha lage hai mujhe 

Ye zindagiaj jo tumharebadan ke choti-badi nason meinmachal rahi haitumhare pairon se chal rahi haitumhari aavaz mein gale se nikal rahi haitumhare lafzon mein dhal rahi haiye zindagijane kitni sadiyon seyun hi shaklenbadal rahi haibadalati shaklonbadalate jismon meinchalata-phirata ye ik shararajo is ghadinaam hai tumharaisi se sari chahal-pahal haiisi se roshan hai har nazarasitare todo ya ghar basaoqalam uthao ya sar jhukaotumhari aankhon ke roshni takhai khel saraye khel hoga nahi dubaraye khel hoga nahi dubara

Wo nahi milta mujhe is ka gila apni jagahus ke mere darmiyan ka fasala apni jagahdil ki mausam ke nikharane ke liye bechain haijam gai hai un ke hothon ke ghata apni jagahzindagi ke is safar mein sainkadon chehare miledil-kashi un ke alag paikar tera apni jagahtujh se mil kar aane wale kal se nafarat mol liab kabhi tujh se na bichadun ye dua apni jagahkar kabhi tu mere dil ke khvahishon ka ehataramkhvahishon ke bheed aur un ke saza apni jagahik musalsal daud mein hai manzilen aur fasalepanv to apni jagah hain rasta apni jagah

Mit gaya jab mitane vala phir salam aaya to kyadil ke barbadi ke bad un ka payam aaya to kyachut gain nabzen ummiden dene vali hain javabab udhar se namabar leke payam aaya to kyaaj hi mitana tha ae dil hasarat-e-didar meintu meri nakamiyon ke bad kam aaya to kyakash apni zindagi mein hum ye manzar dekhteab sar-e-turbat koi mahashar-khiram aaya to kyasans ukhadi aas tuti cha gaya jab rang-e-yasnamabar laya to kya khat mere naam aaya to kyamil gaya wo khak mein jis dil mein tha arman-e-didab koi khurshid-vash bala-e-bam aaya to kya

Tere pas aane ko jee chahata hainaye zakhm khane ko jee chahata haiidhar aaye shayad wo mauj-e-tarannumgazal gungunane ko jee chahata haizamana mera aazamaya hua haitujhe aazamane ko jee chahata haiwohi baat reh reh ke yaad aa rahi haijise bhool jane ko jee chahata hailabon par mere khelata hai tabassumjab aansu bahane ko jee chahata haikai martaba dil pe bijli giri haimagar muskurane ko jee chahata haitakalluf na kar aj barq-e-tajallinasheman jalne ko jee chahata hairukh-e-zindagi se naqaben ulat karhaqiqat dikhane ko jee chahata hai

Phoolon ki mahak ,
kaaton ki chubhan ka ahsaas hai ZINDAGI !
Manzil ko paane ki khushi ,
mushkilon se ladne ka vishwaas hai ZINDAGI !
Sadev chalte rahne ka honsla ,
apno ka aashirwaad hai ZINDAGI !
Dard sahne ki shakti ,
maut ko harane ka chamatkaar hai ZINDAGI !
Sadgi sa bachpan, ithlata ladakpan ,
jawani mein dulhan ka shringaar hai ZINDAGI !
Kabhi door-kabhi paas ,
kabhi dhoop -kabhi chaawn ka aabhas hai ZINDAGI !!

Jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha thatumhin ko hum ne chaha tha tumhin milate to acha thakoi aakar hamen puche tumhen kaise bhulaya haitumhare khat ko ashkon se shab-e-gam mein jalaya haihazaron zakhm aise hain agar silate to acha thatumhen jitana bhulaya hai tumhari yaad aayi haibahar-e-nau jo aayi hai wo hi khushbu lai haitumhare lab meri khatir agar hilate to acha thamila hai lutf bhi hum ko hasin yadon ke jhil-mil meinkatati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil meinagar tum aate to acha tha agar milate to acha tha.

Pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogimere halat ke aandhi mein bikhar jaogiranj aur dard ke basti ka main bashinda hunye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hunkhwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hunmain jo sharminda hua tum bhi to sharamaogiq mere sath koi aur pareshan rahemeri duniya hai jo viran to viran rahezindagi ka ye safar tumako to aasan rahehamasafar mujhko banaogi to pachataogiek main kya abhi aayenge divane kitneabhi gunjege muhabbat ke tarane kitnezindagi tumako sunayegi fasane kitneq samajhati ho mujhe bhool nahi paogi

Zindgi Har Kadam Par Imtihaan Leti HaiDo Pal Ki Kushiyan Dekar Rula Deti HaiPhool Khilati Hai, Umeedon Ki Roshni Deti HaiDo Hi Pal Mein Naumeedi Dikha Deti HaiDilki Dadkan, Pyaar Ke Chiraag Bujha Deti HaiAndheron Mein Kohra Beechha Deti Hai.Kudrat Haat Pakad Manzil Tak Lati HaiKismat Do Pal Mein Zamin Dikha Deti HaiGila Kise Nahi Yeh Kismet Dagaa Deti HaiKhwab Sajati Hai Dil Mein, Todh Bhi Deti HaiJhook Toh Jayen, Tumhari Chahaat Kahti Hai.Do Hi Pal Tumhe, Hume Duur Bhi Kar Deti Hai.Sahan Karni Hogi Judai, Kasak Deti HaiTadap Kar Raat Gujar Deti Hai

Kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal karwo badal gaye achanak meri zindagi badal karhuye jis pe meharaban tum koi khushnasib hogameri hasaraten to nikalin mere aansuon mein dhal keteri zulf-o-rukh ke qurban dil-e-zar dhundhata haiwohi champai ujale wohi suramai dhundalakekoi phul ban gaya hai koi chand koi tarajo chirag bujh gaye hain teri anjuman mein jal kemere dosto khudara mere sath tum bhi dhundowo yahin kaheen chupe hain mere gham ka rukh badal keteri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho mailaye nagar hai aainon ka yahan sans le sambhal ke

Tod kar uthe hain jam-o-shisha-o-paimana humkis se kah den aj raz-e-gardish-e-mastana humbijaliyan ruposh tufan dam bakhud sahara khamoshja rahe hain kis taraf ae lagzish-e-mastana humzindagi ik mustaqil sharah-e-tamanna thi magarumr bhar teri tamanna se rahe begana humtujh mein bhi kuch hosh-mandana adayen aa gaintujh se bhi ab badaguman hain ae dil-e-divana humkhushk aankhen dil shikasta ruh tanha lab khamoshbastiyon se dekhte hain surat-e-virana humhum tak ab aaye na aaye daur-e-paimana “ravish”mutamain baithe hain zer-e-saya-e-maikhana hum

Har ek chehare ko zakhmon ka aaina na kahoye zindagi to hai rahamat ise saza na kahona jane kon si majaburiyon ka qaidi howo sath chod gaya hai to bevafa na kahotamam shahar ne nezon pe q uchala mujheye ittefaq tha tum is ko hadasa na kahoye aur baat ke dushman hua hai aj magarwo mera dost tha kal tak use bura na kahohamare aib hamen ungaliyon pe ginvaohamari pith ke piche hamen bura na kahomain vaqiyat ke zanjir ka nahi qayalmujhe bhi apne gunahon ka silsila na kahoye shahar wo hai jahan rakshas bhi hai “rahat”har ek tarashe huye but ko devata na kaho.