Tod kar uthe hain jam-o-shisha-o-paimana humkis se kah den aj raz-e-gardish-e-mastana humbijaliyan ruposh tufan dam bakhud sahara khamoshja rahe hain kis taraf ae lagzish-e-mastana humzindagi ik mustaqil sharah-e-tamanna thi magarumr bhar teri tamanna se rahe begana humtujh mein bhi kuch hosh-mandana adayen aa gaintujh se bhi ab badaguman hain ae dil-e-divana humkhushk aankhen dil shikasta ruh tanha lab khamoshbastiyon se dekhte hain surat-e-virana humhum tak ab aaye na aaye daur-e-paimana “ravish”mutamain baithe hain zer-e-saya-e-maikhana hum

Your Comment Comment Head Icon

Login