Dard ki baarishon me hum akele hi the
Jab barsi khushiyan najane bheed kahan se aayi

Ab Humara Zikar ,
Hona Chahiye Ye Laila Majnu Ke ,
Kahaani Aakhir Kab Tak

Israar tha unhe ke bhulaa dijiye zafar
Hum ne bhula dia to woh is pr bhi khush nahin

Tum apne bare mein mujhse bhi pooch sakte ho
Ye tum se kisne kaha ke aaina zarori hai

Ab Tu Humein Bi Tark-e Murasam Ka Dukh Nahi
Par Dil Yeh Chahta Hai Ke Aaghaz Tu Kare

Teri Bahho Mai Aakar Sakoon Milta Hai Mujhe
Kaya Meri Tarah Yoon Hi Bekarar Ho Tum..

Bolu agar jhoot tu mar jayega zameer
keh doo n agar main sach to mujhe maar denge log

Na jaane kiske muqaddar mein wo likhi hogi
Magar ye sach hai k umeedwaar main bhi hoon

Aaj Muddat Baad Deedar-E-Yaar Hua Tha
Wohi Galiyan Wohi Raasta Jaha Mujhe Pyar Hua Tha

Laut aayi hain barishein fir se yahan wahan
Ek tumhi KO laut k aane ki fursat nahi mili

Yeh dil buraa sahi sar e bazaar to na kehh
Aakhir tu iss makaan me kuch din raha to hai

Dum tod rahy parinde ko pani tak na diya gaya
Aur ab wo parinde ko bewafa kah rahay hain

Saare Zamane Me Taqseem Tum Apna Waqt Karte Ho
Faqat Mere Liye Tumko Koi Lamha Nahi Milta

Nahi tum sy koi shikayat Bas itni si Iltija hay
Jo Haal kar gay ho khabhi aa ky dekh jana

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard
Jee chahta hai phir koi taaza ghazal kahoon