Qurbaan Jau Uss Shaks Ke Haatho Ki Lakiro Par…
Jisne Tujhe Maanga B Nhi Or Apna Bana Liya…

Na Koi Daikh Le Tuj Ko Meri Aankhon K Raste Se
Teri Masoom Si Sorat Chupaye Dil Mai Baitha Hon…..

Hazaar Chehron May Uski Mushahbatain Milien Mjhko
Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin.

Karoge ek din hum se milne ki arzoo Magar
Paoge humko bas kabhi khayalo main
kabhi sawalon main

Ab to ankhon me ummeed ki gunjaish bhi nazar nahi aati
Ashkon ki siyaahi se jo likhe the saare armaan humne

Narm Narm Phoolo’n Ka Ras Nichor Leti Hain Wasi
Pathar K Dil Hote Hain Titliyon K Seene Main….

Hum Ko Kuch Yadain Stati Hain Shab-O-Roz Warna…!!
Hum Bhi Kabhi Apki Traha Pursakoon Soya Karte Thay

Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi

Nadan Hai Kitna Woh Kuch Smajta Hi Nhi…….
Seene Se Laga K Poochta Hai K Dharkane Taizz Kyun Hain

Ajeeb Zulm Hue Hain Mohabbat Par Yaaro
Jinhe Mili Unhein Kadar Nahi Jinhe Kadar Thi Unhein Mili
Nahi

Khoon Ki Seyahi Se Aapka Naam Likhne Ka Man Karta Hai
Humare Pyar Mein Likhana Tu Kiya? Use Baha Bhi Sakte Hai!

Kisi ko kya hasil hoga mujhe yaad karne se
main to ek aam insaan hun aur yaha to har kisi ko khaas ki talash hai

Na Jany Zamany Walon Ko Kiya Addawat Hy Hum Sy
K Jiss Ko Hum Chahain Sab Usi K Talab-Gar Ho Jaty Hain…!!!

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan
Mujh Ko Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Daikha…

kabhi kabhi meri ankhain yun he roo parti ha

main in ko kaisay samjaon k koi shakhs chahne se apna nhi hota