Suna hay barish usay bhi pasand hay wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay Suna hay Phool usay bhi pasand hain Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay Suna hay chand usay bhi pasand hay Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay Suna hay tanhai usay bhi pasand hay Wo bhi meri tarhan?????. Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay? Sari batain sachi hain Magar Ye bhi sach hay Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi

Ajj Barish Mujhe Afsurda Kur GayiIski Hawa Saari Kushi Uraha Ley GayiKuin!Pata NahiMeara Dil Dukha GayiAjj Barish Mujhe Afsurda Kur GayiLaga EaseyJeaseyRoya Ho Aasman Meari TurhanNahi Samujh AyaaHowa KiaBas Meari Aankh Num Kur GayiMeara Dil Turpa GayiAjj Barish Mujhe Afsurda Kur GayiAjj Barish Ko Choowa Bhi NahiPhir BhiMujhe Yaadon Se Bheego GayiAjj Barish Mujhe Afsurda Kur GayiKur Gayi Mujhe Gum SumKuin Howa EasaNahi MaloomHur Aahut Pur Chonki HonKaheen Na Kaheen Ho TumPurNahi Thae Kaheen TumYah Baat Afsurda Kur GayiAjj Barish Mujhe Afsurda Kur Gayi

Barish Ke Paani Ko Apne Haathon Mein Samet Lo.Jitna Aap Samet Paaye Utna Aap Humein Chahte HaiAur Jitna Na Samet Paye Utna Hum Aap Ko Chahte Hai.Har Nazar Ko Ek Nazar Ki Talash Hai,Har Dil Mein Chupa Ek Ehsaas Hai,Aap Se Pyaar Yuhi Nahi Kiya Humney,Kya Kare Hamari Pasand Hi Kuch Khaas Hai.Har Pal Ne Kaha Ek Pal Se,Pal Bhar Ke Liye Aap Mere Samne Aa Jao,Pal Bhar Ka Saath Kuch Aisa Ho,Ki Har Pal Tum Hi Yaad Aao….Aapko Lagta Hai Ke Humne Aapko Bhula Rakha HaiAap Nahi Jaante Dil Mein Kahi Chupa Rakha HaiDekh Na Le In Aankhon Me Aapko KoiIsliye Palko Ko Bhi Zhuka Rakha Hai

Kisi Rooz Barish Mein Ghar Se NikalnaKhizaan Mein Ghire Toute Patoun Pe ChalnaTapkane Lage Jab Dharakhtoun Se PaniTumein Yaad Aye Ghi Bheeti KahaniK Jab Hum Kisi Shaam Tum Se Mile TheyMohabat K Rastoun Pe Hum Tum Chale TheyTeri Neeli Aankhoun Mein RangEWafa ThaKanwal Jheel Mein Jaise Khilne Laga ThaWo Sadiyoun K Qisse Wo Batein PoraniKarein Yaad Kyoun Ker Wo Bheeti KahaniChita Kaghzoun Ki Hai Kya Khojte HoBhoji Rakh Mein Abh Kisse Dhondhte HoGhagan Pe Jo Chapai Thi Kis Ne Mita DiDhanak Saat Ranghoun Ki Kis Ne Uora DiMohabat Ki Shamma Jala Di Bhoja DiAajab Ek Kahani Hai RangEWafa Ki

Chandni Raat K Hathon Pay Sawar Utri HaiKoi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri HaiIs Main Kuch Rang Bhi Hain Khuwab Bhi Mehkar Bhi HaiJhilmilati Hui Khawish Bhi Inkaar Bhi HaiIsi Khushboo Main Kayi Dard Bhi Afsanay BhiIsi Khushboo Nay Banaye Kayi Dewanay BhiIsi Khushboo Say Kisi Yaad K Der Khultay HainMeray Pairon Say Jo Liptay To Safar Khultay HainYahi Khushboo Jo Mujhey Ghar Say Utha Layi ThiAb Kisi Tor Palat Ker Nahi Janay DetiMeri Delhiz Bulati Hai Mujhey Loot AaoYahi Khushboo Mujhey Wapis Nahi Aanay DetiRanj Or Dard Main Doobi Bahar Utri HaiKoi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri Hai

Adhron Par Simti Bareesh Ki Ek BoondDard Se Parey Bareesh Ki Ek BoondAazad Gagan Mein Firtee Barish Ki Ek BoondSimti Simti Si Barish Ki Ek BoondAdhron Par Simti Bareesh Ki Woh BoondAnkhon Mein Baseey Bareesh Ki Woh BoondAnkhon Se Na Chalkhtee Bareesh Ki Woh BoondSansoon Mein Simti Bareesh Ki Woh BoondSimti Simti Si Baarish Ki Woh BoondDil Mein Basee Bareesh Ki Woh BoondAaj Bhi Dil Par Dastak Datee Barish Ki Woh BoondAaj Bhi Kanon Mein Goonjtee Barish Ki Woh BoondHamaree Ankhon Mein Chupee Barish Ki Woh Boond.Simti Simti Si Bareesh Ki Woh BoondHamaree Ankhon Mein Chupee Bareesh Ki Woh Boond

Safar Tanha Nahi Kartey Suno Aysa Nahi KarteyJessey Shaffaaf Rakhna Ho Ussey Maila Nahi KarteyTeri Aankheyn Ejazat Dain To Hum Kiya Kiya Nahi KarteyBohat Ujrey Huway Ghar Per Bohat Socha Nahi KarteySafar Jis Ka Muqqadar Hoo Usey Roka Nahi KarteyJo Milkar Khud Se Kho Jaey Usey Ruswa Nahi KarteyChalo Tum Raaz Ho Apna Tumheyn Affshan Nahi KarteyYe Ounchey Paer Kesey Hain Kahin Saya Nahi KarteyJo Dhhun Ho Kar Guzarney Ki To Phir Socha Nahi KateyKabhi Hansney Se Dartey Hain Kabhi Roya Nahi KarteyTeri Ankon Ko Partey Hain Tujhey Daikha Nahi KarteySahar Se Pooch Lo Mohsin Keh Hum Soya Nahi Kartey

Baadal Orh K Guzroon Ga Main Teray Aangan SeQaus O Qazah K Sab Rangonmain Tujh Ko Bheega Dekhoon GaRaat Gaye Jab Chaand Sitaray Lukan Meeti Khelein GayAadhi Raat Ka Sapna Ban Kar Main Bhi Tum Ko Chuu Loon GaBeMausam Baarish Ki Soorat Der Talak Aur Door TalakTeray DiyarEHusn Pe Main Bhi Kin Min Kin Min Barsoon GaSharam Se Dohra Ho Jaye Ga Kaan Para Wo Bunda BhiBaadE Saba K Lehjay Main Ek Baat Main Aisee Poochoon GaSafha Safha Ek Kitaab Husn Si Khultee Jaye GiAur Usi Ko Lau Main Phir Main Tum Ko Azbar Kar Loon Ga!Waqt K Ek Kankar Nay Jis Ko Akson Main Taqseem KiaAabERawan Main Kaisay Amjad Ab Wo Chehra Joroon Ga

Barish Ki Ye Pehli BoondeinKaisa Jadu Karti HainDil Se Khoon Ke Katre Le KarMeri Ankhein Bharti HainBarish Ke Is Dibache SeKitne Manzar Khulte HainKhwab Sa Alum, Lehja Madham,Aankhein Nam Nam, Bheega Mausam,Pehli Barish, Pehli Khwahish,Pehla Jazba, Pehla Waada,Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,Chup Chup RehnaSoch Mein ParnaJo Bhi Kehna Tashna KehnaToota Fuqra, Aadha Jumlaa,Jalti Sansein, Thandi Aahian,Bojhal Palkain, Saahir Aankhein,Dhani Jora, Sabz Dupatta,Lambe Gaisoo, Qatil Khushboo,Ik Pehar MeinIk Jag BeetaMaine Tera Bazoo ThamaWasal Ki Is Pehli Barish MeinKya Kuchh Khoya, Kya Kuchh PayaBarish Ki Ye Pehli BoondeinKaisa Jadu Karti Hain.

Ye BaarishynAnkh Aur Mnzr Ki Wus’at Me Chaaron Janib BARISH Hy..Aur BAARISH Mein ‘ Door Kaheen Ik Ghr Hy JiskiAik Aik Eent Pr Tere Mere Khwaab Likhy Hyn..Aur Us Ghr Ko Jaany Wali Kuch Gliyaan Hyn,Jinmein Hm Dono K Saaye Tnha Bheeg Rahy Hyn..Drwaazy Pr Qfl Padaa Hy Aur Dreechy Soony Hyn..Deewaaron Pr Jmi Hui Kaai Mein Chup Kr,Mausm Hm Ko Dekh Rahy Hyn..Kitny Baadl’ Aankh Sy OujhlBrs Brs Kr Guzr Chuky Hyn!!Aik Kmi Si’Aik Nmi Si’Chaaron Jaanib Phail Rahi Hy,Kai Zamany Aik Hi Pl MeinBaahim Mil Kr Bheeg Rahy Hyn………*Undr Yaadyn Sookh Rahi HynBaahir Mnzr Bheeg Rahy Hyn………*(Amjd Islaam Amjd)

Barish Ki Ye Pehli BoondainKesa Jadu Kartee HainDil Say Khoon K Katray Lay KarMeri Ankhain Bhartee HainBarish K Is Deebachay SayKitnay Manzar Khultay HainKhwab Sa Alum, Lehja Madham,Aankhain Nam Nam, Bheega Mausam,Pehli Barish,Pehli Khuwahish,Pehla Jazba, Pehla Waada,Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,Chup Chup RehnaSoch Main ParnaJo Bhee Kehna Tashna KehnaToota Fuqra, Aadha Jumlaa,Jaltee Sansain, Thandi Aahian,Bojhal Palkain, Saahir AankhainDhani Jora, Sabz Dupatta,Lambay Gaisoo, Qatil KhushbooIk Pehar MainIk Jag BeetaMain Nay Tera Bazoo ThamaWasal Ki Is Pehlee Barish MainKiya Kuch Khoya, Kiya Kuch PayaBarish Ki Ye Pehli BoondainKesa Jadu Kartee HainDil Say Khoon K Katray Lay KarMeri Ankhain Bhartee HainBarish K Is Deebachay SayKitnay Manzar Khultay Hain…!!!!!

Aaj Bohat Din Baad Suni Hai Barish Ki AawazAaj Bohat Din Baad Kissi Manzar Nay Rasta Roka HaiRim Jhim Ka Malboos Pahan Kar Yaad Kissi Ki Aaye HaiAaj Bohat Din Baaad Achanak Aankh Younhi Bhar Aaye HaiAankh Or Manzar Ki Vusa’t Main Chaaron Janib Barish HaiOr Barish Main Duur Kahin Ik Ghar Hai Jis MainAik Aik Eent Par Teray Meray Khwab Likhay HainOr Is Ghar Ko Janay Wali Kuch Guliyan HainJis Main Hum Dono’n Kay Saaye Tanha Tanha Bheeg Rahay HainDarwazay Par Qufl Para Hai Or Dareechay Soonay HainDeewaro’n Pay Jammi Hoye Kaa’i Main Chup KarMousam Hum Ko Dekh Rahay Hain Kitnay Badal Hum Dono’n Ki Aankh Say OjhalBaras Baras Kar Guzar Chukay HainAik Kami Si Aik Nami SiCharo’n Janib Phail Rahi HaiKai Zamanay Aik Hi Pal MainBaham Mil Kar Bheeg Rahay HainAndar Yadain Sookh Rahi HainBahar Manzar Bheeg Rahay Hain

Woh Kagaz Ki Kashti,Woh Baarish Ka PaniYe Daulat Bhii Le Lo, Ye Shoharat Bhii Le LoBhale Chhiin Lo Mujhase Merii JavaaniiMagar Mujhako Lautaa Do Bachapan Kaa SaavanVo Kaagaz Kii Kashtii, Vo Baarish Kaa PaaniiMuhalle Kii Sabase Nishaanii PuraaniiVo Budhiyaa Jise Bachche Kahate The NaaniiVo Naanii Kii Baaton Mein Pariyon Kaa DeraaVo Chahare Kii Jhuriryon Mein Sadiyon Kaa PheraaBhulaae Nahiin Bhuul Sakataa Hai KoiVo Chhotii Sii Raaten Vo Lambii KahaaniiKadii Dhuup Mein Apane Ghar Se NikalanaaVo Chidiyaa Vo Bulabul Vo Titalii PakadanaaVo Gudiyaa Kii Shaadii Mein Ladanaa JhagadanaaVo Jhuulon Se Giranaa Vo Gir Ke SambhalanaaVo Piital Ke Chhallon Ke Pyaare Se TohafeVo Tuutii Hui Chuudiyon Kii NishaaniiKabhii Ret Ke Unche Tiilon Pe JaanaaGharaunde Banaanaa Banaake MitaanaaVo Maasuum Chahat Kii Tasviir ApaniiVo Kvaabon Khilaunon Kii Jaagiir ApaniiNa Duniyaa Kaa Gam Thaa Na Rishton Ke BandhanBadii Khuubasuurat Thii Vo Zindagaanii

Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat,Meri Tanhaiyon Ka Ise Abhaas Hai Bohat,JabJab Ye Barish Aayi Mujhse Milne,Chehre Pe Ashq Hote Thhe Mere………,Meri Tanhai Samajh Gayi Thhi Yeh,Hamesha Saath Mere Roti Rahi Yeh,Maine Kaha Tum Jao,Mujhe Akele Rehne Do,Is Par Wo Boli,Mujhe Bhi Apne Saath Rone Do,Phir Na Wo Kuch Boli,Na Main Kuch Boli,Gumsum Roti Rahi Main Akeli………,Jab Jab Wo Aati,Muhe Issi Haal Me Paati,Main Bhi Usse Ankhe Na Thhi Mila Paati,Aaj Phir Bohat Din Baad Ye Barish Aayi,Aur Aaj Usne Mere Hothon Pe Hansi Payi,Khush Ho Gayi…..Tej Baras Padi……….,Mere Saath Woh Bhi Khilkhilakar Hans Padi,Maine Poocha Tum Kyon Hans Rahi Ho Aaj,Usne Kaha Meri Dost Jo Khush Hai Aaj….,Phir Ansoo Jhalak Pade Meri Ankho Se,Par Is Baar Khushiyon Ki Chamak Thhi In Ankho Me,Phir Maine Use Sab Kuch Bataya,Dil Ka Kissa Usko Sunaya………….,Bohat Khush Hui Wo Sab Kuch Sun Kar,Phir Chali Bhi Gayi Duayein De Kar,Wada Liya Maine Usse Phir Jaldi Aane Ka,Use Har Baat Dil Ki Batane Ka…..,Phir Maine Socha Yahi To Hai Meri Saathi,Mera Chehra Dekhkar Jo Hai HanstiRoti.