Suna hay barish usay bhi pasand hay wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay Suna hay Phool usay bhi pasand hain Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay Suna hay chand usay bhi pasand hay Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay Suna hay tanhai usay bhi pasand hay Wo bhi meri tarhan?????. Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay? Sari batain sachi hain Magar Ye bhi sach hay Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi

Your Comment Comment Head Icon

Login