Nazar Jub Tum Se Milti Hai Main Khud Ko Bhool Jata Hoon,Bas Ek Dharkan Dharakti Hai, Main Khud Ko Bhool Jata Hon,Tumhain Milne Se Pehle Main Bohut Sajta Sanwarta Hon,Magar Jub Tum Sanwarti Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hon,Main Aksar Kitabon Pe Tera Hi Naam Likhta Hon,Magar Kuch Tum Jo Likhti Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hon,Main Aksar Yehi Kehta Hon, Main Tum Say Pyar Karta Hon,Magar Jub Tum Yeh Kehti Ho Main Duniya Bhool Jata Hon
Like (0)Dislike (0)
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!
Like (0)Dislike (0)
man mausam ka kaha, chai ghata, jam uthaaag se aag bujha, phul khila, jam uthapi mere yar tujhe apni qasam deta hunbhool ja shikavagila, hath mila, jam uthahath mein jam jahan aaya muqaddar chamakasab badal jayega qismat ka likha jam uthaek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisader kya karana yahan, hath bada, jam uthapyar hi pyar hai sab log barabar hain yahanmaikade mein koi chota na bada, jam uthaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Bad
Like (0)Dislike (0)
masihevaqt sahi hum ko is se kya lenakabhi mile bhi to dardedil badha lenahazar tarkevafa ka khayal ho lekinjo rubaru hun to badh ke gale laga lenakisi ko chot lage apne dil ko khoon karanazamane bhar ke gamon ko gale laga lenakhumar tute to kaise ke hum ne sikh liyatu na ho to teri yaad se nasha lenasafina dub bhi jaye to gham nahi ‘farig’na bhool kar kabhi ehasanenakhuda lena Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Farig Bukhari
Like (0)Dislike (0)
Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gayeus ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gayekhub gaye pardes ki apne divarodar bhool gayeshishmahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gayetujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahihum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gayemujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “nazeer”meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gayePoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nazeer Baqri
Like (0)Dislike (0)
hans ke bola karo bulaya karoaap ka ghar hai aaya jaya karomuskurahat hai husn ka zevarrup badhata hai muskuraya karohad se bad kar hasin lagate hojhuthi qasmen zarur khaya karohukm karana bhi ek sakhavat haihum ko khidamat koi bataya karobaat karana bhi badashahat haibaat karana na bhool jaya karota ke duniya ke dilkashi na ghatenit naye pairahan mein aaya karokitne sada mizaj ho tum ‘adam’us gali mein bahut na jaya karoPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Abdul Hameed Adam
Like (0)Dislike (0)
Rudademuhabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gayedo din ke masarrat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gayejab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahafil meinwo hosh ke sa’at kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gayeehasas ke maikhane mein kahan ab fikronazar ke qandilenaalam ke shiddat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gayeab apni haqiqat bhi “sagar” berabt kahani lagti haiduniya ke haqiqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gayePoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sagar Siddiqui
Like (0)Dislike (0)
Tumse Mil Kar Tumhe Bhulna Mushkil Hai Asaan NahiDeewane Dil Ko Samjhana,Mushkil Hai Asaan NahiHar Rasta,Har Manzar Ab To,Koi Fasana Lagta HaiJab Se Tum Aaye Ho,Sara Sheher Suhana Lagta HaiJaate Lumho Ka Ruk JanaMushkil Hai,Asaan NahiJhukti Aankhein,Rukti Sansein,Dard Adhura Kehti HaiDil Ki Puri Batein Aksar Dil Ke Under Rehti HaiDil Ki Baat,Zubaan Par LanaMushkil Hai,Aansan NahiJo Hum Chaahein Wo Tum Chaaho,Phir Bhi Kyu Ye Doori Hai?Mil Kar Bhi Hum Mil Nahi Pate,Ye Kaisi Majboori Hai?Rasmoo Ki Deewar Giraana Mushkil Hai,Aansan Nahi
Like (0)Dislike (0)
Na Bujha ChiraghEDayaarEDil, Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla, Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,Ye Bhi Kya Ke Ek Hi Shakhs Ko Kabhi Sochna, Kabhi Bhoolna,Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala, Jo Na Ho Sake Wo Kamal Kar,GhamEArzu Meri Justju, Mei Simat Ke Aa Gaya RuBaru,Ye SukootEMarg Hai Kis Liye? Mei Jawab Doon Tu Sawal Kar,Tu Bichhar Raha Hai To Soch Le, Tere Hath Hai Meri Zindgi,Tujhe Rokna Meri Mot Hai, Meri Be`Bsi Ka Khayal Kar,Mre Dard Ka, Mre Zabt Ka, Meri BeBasi, Mere Sabr Ka,Jo Yakeen Na Aaye To Dekh Le, Tu Hawa Mein Phool Uchaal K
Like (0)Dislike (0)
Tumen Bhooly Nahey Hain HumTumhara Chand Sa CheraHumari Khaas Yadoon Kay Faraimun MeinSaja Hay, Muskarataa HayTumahara Lams Ehsasaat Kay Nazk Dareechun ParAbhi Tak Subt Hay Aur Jhilmilataa HayTumhari Muskarahat Raat Kay Pichlay PeharVeraan Darwazun Par Dustak Day Kay Ghatnoon Gunganatii HayTumharay Raishmii Rukhsaar Par Meri Zard Poroon Kay Kinaroon Par Ugaay HainLehlahatay HainTumhen Bhooly Nahey Hain HumUddassi Ya Khushi Koii Bhee Mousam HooHumaray Lafz Sab Kuch Bhool Kar Ek Geet Gaatay HainTumhen Bhooly Nahey HainTumhen Bhooly Nahey HainTumhen Wapis Bulatay Hain!!
Like (0)Dislike (0)
Dil Main Apne Main Tumko Basa Lunga…Aankhon Main Apne Main Tumko Chupa LungaMain Wafa Karu Tumse Ye Khuwahish Hai Meri…Tumhare Liye To Janam Main Subko Bhula DungaTum Mere Banjaoge Ek Din Yahi Sach Hai Aakhir…Aankhon Main Apne Bus Yahi Khwaab Saja DungaMain Ye Nahi Chahata Ke Tum Meri Wajah Se Kabhi Ro…Agar Aisa Hua To Main Aankhon Ko Apni Sailaab Bana Dunga….Mera Dil Humehsa Se Tumhi Ko Chahata Hai…Main Ek Din Ye Sach Zamane Ko Batadunga…Tum Mujhe Bhula Do Main Ye Soch Bhi Nahi Sakta…Agar Aisa Hua To Main Duniya Se Khud Ko Hi Mita Dunga
Like (0)Dislike (0)
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya HogaMeri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya HogaBaat BeBaat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee HogiUss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya HogaSocha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar MujhayNaam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya HogaJahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi SayUss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya HogaRaat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi TujhayTunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya HogaHokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay JaanaMeri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya HogaPoocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka SabbabTunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga
Like (0)Dislike (0)
pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogimere halat ke aandhi mein bikhar jaogiranj aur dard ke basti ka main bashinda hunye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hunkhwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hunmain jo sharminda hua tum bhi to sharamaogiq mere sath koi aur pareshan rahemeri duniya hai jo viran to viran rahezindagi ka ye safar tumako to aasan rahehamasafar mujhko banaogi to pachataogiek main kya abhi aayenge divane kitneabhi gunjege muhabbat ke tarane kitnezindagi tumako sunayegi fasane kitneq samajhati ho mujhe bhool nahi paogiPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Javed Akhta
Like (0)Dislike (0)
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho GaMere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho GaBaat BeBaat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo GiUss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho GaSoocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar MujhyNaam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho GaJahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi SayUss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo GaRaat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi TujhyTuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho GaHo Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay JaanaMere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo GaPoocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka SababTuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga
Like (0)Dislike (0)
Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafatenkabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbatenye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad kekoi lamha subahevisal ka, kai shamehijr ke qurbatenjo tumhari man lain nasiha to rahega damanedil mein kyana kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke muravvatenchalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal eshahar meinye mazar ahalesafa ke hain ye hain ahalesidq ke turbatenmeri jan aj ka gham na kar, ke na jane katibevaqt nekisi apne kal mein bhi bhool kar kaheen likh rakhi ho masarratenPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz
Like (0)Dislike (0)