Guzar gaya jo kai baar be-niazana. . Wo shakhs bhi hai meri umer-e-be’talab ki tarha. . !
Guzar gaya jo kai baar be-niazana. . Wo shakhs bhi hai meri umer-e-be’talab ki tarha. . !
Har Waqt Milti Rahti Hai Mujhe Anjani Si Saza Main kaise Puchon Taqdeer Say Mera Qasoor Kia Hai
Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai, Agar jo ho ishq to kehna yahan koi dil nahi rehta..
hiddat-a-gham ko tabasum main chupany walo Dil ka hr zakham nigahoon sy ayaaan hota hai….
Arsaa-e-umar mein kya kya na rutain aayi magar, Koi thehri na yahaan dard ke mausam ki taraah..
Dhoondtay Kia Ho In Aankhon Mein Kahani Meri, Khud Mein Guum Rehna Tou Aadat Hai Puraani Meri..
Priya, Tum To Aaye Nahin Jaag Huyee Hai Bhor Kyoun Na Aaj Mein Hee Parhoon Nikal Tumhaaree Aor?
Safar hai us ka bulandi sey pasti’yon ki taraf.. Agar na shor machaye to kia karey dariya!
mana k hum hain ujrey howy shehar ki misaal.. tumhari aankhen bata rahi hain k viraan tum bhi ho
Jis mein shaamil na ho meri soch ka taaza lahu, Us ghazal mein kuch kami mehsus hoti hai mujhe..
Jab kabhi khud ko yeh samjhaon ke tu mera nahin, Mujh me koi cheekh uthta hai, nahin aesa nahin..
Butt banay bethna , Pahlo main badaltay rahna, Milna khosh khosh magar andar sa Pighaltay rahna..
Inhi khush gumaniyo me kahi jan se bhi na jao, Wo jo chara gar nahi hai usey zakham kiyo dikhao..
Mujh Ko Dhoond Laita Hai Nitt Naye Bahanay Se, Dard Ho Gaya Waaqif Meray Her Thikanay Se…!!
Mai uski zindagi se chali jaon ye uski dua thi, Aur uski har dua kabool ho ye meri dua thi….