Wo Pyari Si Hansi Tere Chehre KiWo Kajal Se Saji Aankhen TeriWo Dil Kashi Zulfein TeriWo Khil Khilata Hua Chehra TeraWo Madhosh Kar Dene Wala Ehsaas TeraMujhko Mujhi Se Chura Le GayaMujhe Tera Deewana Bana Le GayaWo Dilnasheen Baatein TeriWo Pyar Bhare Shabd TereWo Sweet Si Aawaz TeriMera Dil Chura Le GayiWo Hanskar Mujhse Baatein Karna TeraMere Seene Pe Apna Sir Rakh Kar So Jana TeraMujhse Gale Lag Kar Mujhi Mein Kho Jana TeraMeri Baahon Mei Khud Ko Chupa Lena TeraMujhe Tera Mohtaz Bana GayaAb Tu Hi Bata Ki Ismein Meri Kya Khata ThiMaine Tau Sirf Tujhse Dosty Ki ThiDosty Ko Pyar Mei Tau Tune Hi Badla ThaApni In Dil Kash Adao Se Hi Tau Tune Mera Dil Loota Tha

Uske Husn Ki Tarif Mein Kya KahiyeKoi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi HaiAe Banane Wale Lagta JaiseKoi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi HaiUske Zulafo Ki Tarif Mein Kya KahiyeJaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari HaiHo Chali Hai Pawan Bhi PagalUski Zulaf Lehar2 Leharaayi HaiAankhein Uski Ya Mehkashi K PyaaleDekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi HaiHonth Kahu Ya Phoolo Ki PaankheinJiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi HaiAbar Kahu Uske Gaalo Ko MainDhoodh Se Jaise Wo Nahayi HaiChand Kahu Fir Bhi Kam HogaAasma K Nakshtro Mein Wo Hi JagMagayi HaiUske Husn Ki Tarif Mein Kya KahiyeKoi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi HaiAe Banane Wale Lagta JaiseKoi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai

Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte HainYe Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte HainSunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa HaiSitaare BaamEFalak Se Utar Kar Dekhte Hain(BaamEFalak : Terrace Of The Horizon)Sunaa Hai Hashr Hain Us Kii Gazaal Si AankhenSunaa Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte HainSunaa Hai Din Ko Use Titaliyaan Sataati HainSunaa Hai Raat Ko Jugnuu Thaher Ke Dekhte HainSunaa Hai Raat Se Barh Kar Hain Kaakulen Us KiSunaa Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hain(Kaakul : Tresses)Sunaa Hai Us Kii Siyaah Chashmagii Qayaamat HaiSo Us Ko Surmaafarosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain(Surmaafarosh : Kohl Vendors)Sunaa Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jalte HainSo Ham Bahaar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte HainSunaa Hai Aa’inaa Tamsaal Hai Jabiin UskiJo Saadaa Dil Hain Ban Sanvar Ke Dekhte HainSunaa Hai Jab Se Hamaail Hain Us Ki Gardan MeinMizaaj Aur Hii LaalOGauhar Ke Dekhte Hain(Hamaail : Something To Wear Around The Neck)Sunaa Hai ChashmETasavvur Se DashtEImkaan MenPalang Zaave (?) Us Kii Kamar Ke Dekhte Hain(ChashmETasavvur : Eyes Of Imagination)Sunaa Hai Us Ke Badan Ke Taraash Aise HainKe Phuul Apanii Qabaayen Katar Ke Dekhte Hain(Qabaayen : Tunic)Vo SarvQad Hai Magar BeGulEMuraad NahiKe Us Shajar Pe Shaguufe Samar Ke Dekhte Hain(SarvQad : Tall And Graceful; Shaguufe : Bud; Samar : Fruit)Bas Ek Nigaah Se Lutataa Hai Qaafilaa Dil KaSo RahRavaanETamannaa Bhii Dar Ke Dekhte Hain(RahRavaa.N : Travellers)Sunaa Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai BahishtMakiin Udhar Ke Bhii Jalve Idhar Ke Dekhte Hain(Shabistan : Bedroom; Muttasil : Near; Makiin : Tenant)Ruke To Gardishen Us Kaa Tavaaf Karti HainChale To Us Ko Zamaane Thaher Ke Dekhte Hain(Gardish : Time)Kise Nasib Ke BePairahan Use DekheKabhii Kabhi DarODiivaar Ghar Ke Dekhte Hain(BePairahan : Without Clothes)Kahaaniyaan Hi Sahi Sab Mubaalage Hi SahiiAgar Vo Khvaab Hai Taabiir Kar Ke Dekhte Hain(Mubaalage : Beyond One’s Limits)Ab Us Ke Shahar Men Thaharen Ki Kuch Kar Jaayen“Faraz” Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hain

Khud Khuda Hi Aap ParNaaj Bahut Karta HaiKaamdev Bhi Roj Dekh KarSajata Aur Savarta Hai.

Ya Rab Ab Ke Jo Main Ghar BadloonTo Aisi Parosan DeJo Qalb Ko Garma DeJo Rooh Ko Tarpa De

Muskara Kar Yu Unhone Dekh LiyaDil Se Jaise Ek Laher Si GayiIs TezTaraaz Zindagi KiRaftaar Jaise Thaher Si Gayi

Mitti Ki Anokhi Murat Ho TumZindagi Ki Ek Zarurat Ho TumPhool To Khubsurat Hote HaiPhoolo Se Bhi Khubsurat Ho Tum

Mast Nazron Se Dekh Lena ThaAgar Tamanna Thi Aazmane KiHum To Behush Youn Hi Ho JaateKya Zaroorat Thi Muskurane Ki

Masunmiyat Ki Murat HoKhuda Ki Banai Koi Surat HoTeri Khushiyon Ko Kisi Ki Lage Na NazarTeri Zindgi Or Bhi Khubsurat Ho

Aap Jab Saamne Se Guzar Jaate HaiArmaan Dil Ke Ubar Aate HaiDekhkar Aapki Pyaari SooratSahme Hue Phool Bhi Nikhar Jaate Hai

Aaj Fir Lab Pai Un Kaa Naam AayaUn Kaa Nazrain Uthaanaa Kaam AayaJaantaa Un Ko Koun Tha Kal TakHusnEAwal Hain Woh Inaam Aaya

Yu Achanak Se Aa Jaati Ho SaamneKi Mein Kuch Bhikeh Pata Nahi,Kaya Kahu Tere Husn Ke Sajjde MeinKe Koi Shayer Bhi Yaad Aata Nahin.

Teri Beauty NeDil Mein Attack KiyaSab Ko Reject KiyaTumko Select KiyaRequest Karta HooRefuse Na KarnaMere Pyar Ke Bulb KoFuse Na Karna

Aap Khubsurat Hain ItneKe Har Shakhs Ki Zuban Par Aap Hi Ka Tarana HaiHum Nacheez To Kahan Kisi Ke KaabilAur Aapka To Khuda Bhi Diwana Hai

Tumhe Apne Dil Mein Basaye Rakhta HoonAur Duniya Ko Bhulaye Rakhta HoonTumhe Meri Nazar Na Lag JayeIsliye Apni Nazrein Jhukaye Rakhta Hoon